Shak143
Age: 35
4826 days old here
Total Posts: 166
Points : 1
Location:
wahcantt, Pakistan
Status : Offline |
~*TERI YAADAIN*~ Her insan apni umer main eik martba sacha piyer zaroor kerta hy, kyunk Dil sirf dharne ke lie nahy hota, kab kahan kiss wakat apne andre kisi oor ki bitha le pata nhe chalta, khaber nahy hooti…!! . Menny jab se hosh sambhala, eik he larki ko piyer kia , jab bi chaha usi ki chahat ki jab bhi manga her ek dua main ussi ko manga,, koi sapna buna to uss khuawb ki tabeer ko ussi ek main talaash kia…!! . jab bhi daikha ussi ki soorat nazer aai matlab ishq ki intha or payer ki her had se barh ker diwangi ki tarha ussi ko chaha…!! zindagi sari ussi pe waar di 18 saal…….!!!!!!! . Mery vo 18 saal ka pagalpan ki had tak muhbbat ko uss ne ek thooker me esy tukry tukry ker dia ke aaj tak samet nhe saka jo kehta tha tum jism ho or main tumhari rooh, tum dil or main tumhari dharken… jo kehti thi tumhara our mera rishta esa he jesy dil ka or jism ka, Dil ka rishta khoon se or jism ka pani vagera se., Mager jab dil dukhta hy to khoon nahy paani aanso ban ker nikalta hy, jab jism ko koi choot pohanchti hay to dil se khoon nikal ker jisn se aata hay….!!! . jo kahti thi meri zindagi tum se hai, meri bandagi tum se hai meri khushyaan mera piyer mery do jahan tum se hain tum ho to me hun tum nahy to main bhi nahy…!! . Uss azeem shaksiyat jiss ne itny dawe kie kasmain khaaen wady kie mujh se poocha tak nahe mujhe bataya tak nhe or………..”mujhe uss nai choor dia” Shayed main ameer nahy tha, paisa dolat bangloo car nahe tha, mager koi iss atrha kesy choor sakta hai peeroon tally zamen kesy nikalti hai ye soochta tha orr uss se poochta tha tab vo khamoosh hooti thi mager uss ne ker dikhaya or mujhe bata dia mery peron tale zameeen kheench ker…!! . Main aaj tak ye baat samajh nahe paya ke koi iss tarha kesy ker sakta hai, koi itna pather dil kesy ho sakta bachpan se sath kheelay paley barhey parhaai ki taangey pe matric ki mobile per din raat sms cheat ghantoon bateen kerna chuo chuo ker milna, voh baateen vo mulakaateeen vo hamara roothna manana, nae gher ke sapny bun’na agey ke khawab daikhna, vo sab kuch kia tha..?? . Main ussy her baar kaha kerta tha ke “PIYER KA MATLAB SIRF HAASIL KERNA NAHY HOOTA” mager iss baat se voh chir jaati or akser roo parti siskiyaan bharty hue kehti daikh leena main tumhain haasil ker ky rahoon gi, tuhmhain apna bana loon go sirf mera buss mera or kisis oor ki nahe samjhe…! Apno ke sath koi iss tarha bhi kerta hai kia?? Meri zindagi veeran hai, haath khaali her soo tanhaai hai..!! . Muhjy iss baat ka dukh nahe ke main ussu haasil nahe ker saka, mager takleef hooti hai mujhe inta dard milta hai azeeat pohanchti hai jab soochta hoon ke fana hoo jaaunga or qayamat ke din uthoonga tab uss ka haath kisi oor ke haath me hoga or main jiss ne sab kuch uss pe waar dia voh akeela khara rahoonga khali haath….!! Shayed meny Khoo dia tujhe JANA hamesh hamesh ke lie……..!! Mera kull asaasa hain vo wakat jo tere sang guzra, tere sath tere paas teri bahoon maain teri panahoon main ikathy jab tum mere pass thi mere sath thi jab tum thi or main tah hamare beech koi nahy tha, jab tun meri thi jab her rooz kehti “Jan main tumhaari hoon sirf tumhaari oor kisi ki nahe orr tum mere ho sirf mere or kisi ke nahy, vo yaadain bas…..!! Meri zindagi hain sirf jan, . . . . ~*TERI YAADIAN*~ ooops143
no likes.
|