gullaspearl
Age: 32
4947 days old here
Total Posts: 41
Points : 21
Location:
Haripur, Pakistan
Status : Offline |
Subject : so sad GuYxX......I ThiNx U NevEr (evEr) SeEn ThIX TypE Of posT LOLXxWoh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai... Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai.. Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai.
no likes.
|