Bekhre Rukh-e-Roshan Pe Jo Hain Gaysu-e-Shab-e-Rang Niklaa Hai Tere Husn-e-Dil Aara Ka Ghazab Rang, Kiya Kijiye Biyaan Us Tann-e-Nazuk Ki Haqeeqat Khushbu Mein Hai Kul Bu, To Litafat Mein Hain Sab Rang, Sab Seekh Liya Ghair Se Afsoon-e-Shararat Baaqi Woh Kahaan Sadgi-e-Yaar Ka Ab Rang, Ek Chashma-e-Hasrat Hai Aankhun Se Hai Jaari Ushaaq Hai Sadma-e-Hijraan Se Ajab Rang, Poocho Na Shab-e-Wasl Ki Lazzat Kay Abhi Tak Badla Hai Rukh-e-Shaoq Ka Azruu-e-Tarab Rang, Dil Khoon Howe Jaate Hain Arbaab-e-Nazar Kay Rakhti Hai Qiyamat Ka Teri Surkhi-e-Lab Rang, 'Hasrat" Teri Is Pukhta Kalaami Ki Hai Kiya Baat Paaya Hai Kisi Aur Sukhanwar Ne Kab Rang.'
no likes.
|