complete ghazal????????? kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta mundeiron se chiraghon ko bhuja kar kuch nahi milta hamari sooch ki parvaaz ko rooke nahi koi naye aflaaq pe pehre bitha kar kuch nahi milta koi ek aadh sapna hoo to acha bhi lagta hai hazaaron khwaab aankhon mein sajaa kar kuch nahi milta sukoo'n inko nahi milta kabhi pardeis jaa kar bhi jinhein apne watan se dil laga kar kuch nahi milta use kehna k palkon par na taanke khwaab ki jhalar sumandar k kinare ghar banaa kar kuch nahi milta ye acha hai k aapas k haram na tootne payen kabhi dooston ko aazma kar kuch nahi milta na jaane kaun se jazbe ki yuun taskeen karta hoon bazaahir to tumhare khat jalaa kar kuch nahi milta faqat tum se hi karta hon main saari raaz ki baatein har ek ko daastan-e-dil suna kar kuch nahi milta amal ki sookhti rag mein zara sa khoon shaamil kar mere humdum faqat baatein bana kar kuch nahi milta use main pyaar karta hoon mujh ko chein aata hai wo kehta hai use mujh ko sataa kar kuch nahi milta mujhe aksar sitaaron se yehi awaaz aaye hai kisi ke hijr mein neenden gawa kar kuch nahi milta jigar hoo jayega chalni ye aankhen khoon royen gii wasi be faiz logon se nibha kar kuch nahi milta..!!!
no likes.
|