ayubi said:There is a possible reasons for it:
1)tamam planets, sapce men musalsal harkat men hen, right from their beginning, aur jis ki waja se un ki berooni satah friction se buri tarha mutassir hoti he yahan tak k kabhi kabhaar friction se itni heat generate hoti he k un planets ki satah par kuch waqfey k lie aag tak lag jati he. aur hamen ye bhi maloom he k jis cheez par friction ka effect ho wo cheez ghhisna(Abrase) shoro ho jati he aur jab koi cheez har taraf se friction se mutassir ho to wo hamesha circular shape men ghhisti (abrasion) he isi lie tamam planets jo k chaaron taraf se musalsal friction se mutassir honey ki waja se ghistey hen yahi waja he k tamam planets hamesha TAQREBAN circular hotey hen.
Evidence: Pakistan men Northern area men river k kinaarey ap ko barey barey irregular boulders (pathar) nazar aen gey wohi boulders jab river k pani ki friction se chaaron taraf se mutassir hotey hen aahista aahitsta ghhis kar apna size b kam krna shoro kar detey hen aur more circular b hotey jatey hen yahan tak k jab aap sea side pe jaen to wahan ki sand ko utha kr ghour se dekhen ye beach sand bohat ziada circular hoti he, ye wohi barey barey boulders hen jinhey hm norhtern areas men friction apply honey se pehley "irregular" dekhtey hen. That's why, friction ki application k baad har cheez size men choti b hojati hen aur circular bhi, bashart ye k friction har taraf se equal amount men apply ho.
umeed he apko mere mushkil andaz k baa wajood samajh agay hogaa. please feel free to ask in case of any objection/misunderstanding. waiting for your reply
Note: sawal english men kia gaya tha to jawab b english men hi hona chahie tha lekin men ne sotcha k ye topic kafi logo k interest ka ho sakta he is lie men ne jawab jahan tak mumkin ho saka urdu men deney ki koshish ki he.
correct answer.
no likes.