Subject : Poetry (closed) vo jo ham me.n tum me.n qaraar thaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho vahii yaanii vaadaa nibaah kaa tumhe.n yaad ho ke na yaad hovo naye gile vo shikaayate.n vo maze maze kii hikaayate.n vo har ek baat pe ruuThanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho ko_ii baat aisii agar hu_ii jo tumhaare jii ko burii lagii to bayaa.N se pahale hii bhuulanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho suno zikr hai ka_ii saal kaa, ko_ii vaadaa mujh se thaa aap kaa vo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho kabhii ham me.n tum me.n bhii chaah thii, kabhii ham se tum se bhii raah thii kabhii ham bhii tum bhii the aashnaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho vo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam ke haath mere haath par mujhe sab hai.n yaad zaraa zaraa, tumhe.n yaad no ki na yaad ho kabhii baiThe sab hai.n jo ruu-ba-ruu to ishaarato.n hii se guftaguu vo bayaan shauq kaa baramalaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vo biga.Danaa vasl kii raat kaa, vo na maananaa kisii baat kaa vo nahiii.n nahii.n kii har aan adaa, tumhe.n yaad ho ki na yaad ho jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baavafaa mai.n vahii huu.N "Momin"-e-mubtalaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
no likes.
|