Forums > General Talks > Ghazal's
umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : Ghazal's
Post Your Ghazals Here Plz

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:35:19 PM


Hina


Age: 39 Female
5037 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Zindagi Kay Meelay MeiN
KhwahishooN Kay Railay MeiN
Tum Se Kiya KahaaiN JanaaN
Es Qadar Jhamailay MeiN
Waqt Ki Ravaani Hai
Bakht Ki Girani Hai
Sakht Bay-Zameeni Hay
Sakht La-makani Hai
Hijr Kay Samandar MeiN
Takht Aur Takhtay Ki
Ek Hi Kahani Hai
Tum Kow Jo Sunani Hai
Baat Goo Zara Si Hai
Baat Umr Bhaar Ki Hai
Umr Bhar Ki BaataiN Kab
Doo Ghardi MeiN Hoti HeiN
Dard Kay Samandar MeiN
Un-Ginnat Jazeeray HeiN
Bayshumaar Moti HeiN
Aankh Kay Jazeeray MeiN
Tum Ne Jo Sajaya Tha
Baat Us Diyay Ki Hai
Baat Us Gilay Ki Hai
Jo Lahoo Ki Khilvat MeiN
Choor Ban Kay Aata Hai
Lafz Ki FaseelooN Par
Toot Toot Jaata Hai
Zindagi Se Lambi Hai
Baat Takhliyay Ki Hai
Takhliyay Ki BaatooN MeiN
Guftagoo Izaafi Hai
Piyar Karnay WalooN Kow
Ek Nigah Hi Kafi Hai
Ho Sakay Tow Sun Ja'oo
Ek Din Akailay MeiN
Tum Se Kiya KahaiN JannaN
Es Qadar Jamailay MeiN!

*Amjad-Islam-Amjad*

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:38:06 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Patharo ki basti men karobar Sheeshay ka
Koi bhi ni karta Aitebaar Sheeshay ka
Kaanch se baney Putley thori door hi chalty hain
Char din ka hota hy ye Khumaar Sheeshay ka
Ban sanwar k nikla hy aaj Harjaai ghar se
Jaaney kon hota hy phr shikaar sheshay ka
Dil k aazmaney ko ek sang kaafi hy
Bar bar nahi lena emtihaan Sheeshay ka
Ary is zamany men sab Rishtey aarzi hain
Hum ne bhi banaya tha Ek Yaar Sheeshay Ka....

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:39:32 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Kuch khushi k saye men or kuch ghamon k sath sath
Zindagi kat rahi hy Uljhano k sath sath
Aaj tak is thakan se dukh raha hy ye badan
Ek safar mene kiya hy Khuwahisho k sath sath
Kis tarah khaya hy dhoka kya batao men tumhen
doston k mashwary thy saazishon k sath sath
Is dafa sawan men teri yaad k badal rahy
is dafa men khub roya baarishon k sath sath
Sheher men kuch log mere chahne waly bhi hain
Phool bhi lag rahy hain Patharon k sath sath....

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:43:57 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Ye yaad ni kya kuch khoya
bus yaad raha mujhe pyar hua
jab pyar hua sab bhool gaye
ek yaad raha bus naam tera
hum saahil darya bhool gaye
mujhe yaad raha bus saath tera
kuch saalon baad wo hum se mily
men pooch betha kya haal tera?
wo hans k boley ae Faraz
tu ye to bata kiya naam tera...?

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:47:23 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Shaam k parindo ki tarah lot ate hum
muntazir agar koi hamara hota
chand taaron ki talab kise thi
bus roshni k liye ek sitara hota
hum men shayad koi kami thi warna
zarur koi tarafdar hamara hota
dunya k logon ki tamanna kisy thi Umair
hum ne chaha Kaash wo ek shakhs hamara hota...

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:51:13 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Hatheli samny rakhna k sab aansu giren is men
jo ruk jaye honto pe samajh jana wo hu men
kabhi jo chand ko dekho to tum yu muskura dena
jo chal jaye hawa thandi to aankhen band karlena
jo jhonka tez ho sab se samajh jana wo hu men
jo ziada yaad aun men to tum rolena g bhar k
agar hichki koi aaye samajh jana wo hu men
Agar tum bhoolna chaho mujhe shayad bhula do tum
Magar jab saans lena tum Samajh jana wo hu men......

no likes.

Posted on February, 17 2011 04:54:47 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5036 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
OH NA KARO DOSTO IS ME MUJHE INTEREST NHE ;(((((


no likes.

Posted on February, 17 2011 06:23:56 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
5030 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Mere sabher ka na le imtehaan tu
Meri khamoshiyon ko sada na de
Jo tere bagair na jee sake
Usse jeene ki dua na de
Tu aziz dil o nazar se hai
Tu qareeb rago jaan se hai
Mere jism o jaan ka ye fasla
Kahin waqt aur barha na de
Tujhe bhool ke bhi na bhoola sakon
Tujhe chah ke bhi na pa sakon
Meri hasraton ko shumar de
Meri chahaton ka sila na de
Woh tadap jo shola e jaan mein thi
Mere tan badan se lipat gai
Jo bujha sake to bujha isay
Na bujha sake to hawa na de.

no likes.

Posted on February, 17 2011 09:45:38 PM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

no likes.

Posted on February, 18 2011 01:32:42 AM

Hina


Age: 39 Female
5037 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline



no likes.

Posted on February, 18 2011 01:37:30 AM

Hina


Age: 39 Female
5037 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
~ U d a a s __ P a n c h i ~
.

Haalaat k garmi se pighal jaayain ge janaan

Auron ki tarah ham bh badal jaayain ge janaan

Dikhlayain ge seena na kabh ahal-e-jahaan ko

Aik aatish-e-gum-naam main jal jaayain ge janaan

Ham taaj mohabbat kaa sajaaye huay sar per

Us shahar-e-malaamat se nikal jaayain ge janaan

Aik rang-e-wafaa dekh ke khil jaaye gaa chahera

Aik azn-e-tabasum se bahal jaayain ge janaan

Taqdeer kaa shikwaa na zamane se karain ge

Tasvr se chup chaap nikal jaayain ge janaan.

no likes.

Posted on February, 18 2011 01:39:41 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mera Lafz Lafz Hai Aaina Tujhe Aaine Main Utaar Loon

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palkein Sanwaar Loon

Mera Lafz Lafz He Aaina Tujhe Aaine Mein Utar Loon

To Tamam Din Ka Thaka Hoa Main Tamaam Shab Ka Jaga Hoa

Zara Thehar Ja Is Mor Py Ik Shaam Sath Guzaar Loon

Koi Ajnabi Teri Raah Mein Mery Pas Se Yon Guzar Gaya

Mere Dil Main Yeh Tarap Hoi Tera Naam Le Kar Pukar Lon....


no likes.

Posted on February, 18 2011 02:05:50 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
To Aankhain band kare to Aaun main hi nazar

Tere hath ki kash main wo Lakeer ban jaoun.

Kash main tera muqadar teri taqdeer ban jaoun.

Main tujhe itna chahon ky tu bhool jaye har rishta.

Sirf main hi tery har rishtay ki tasweer ban jaoun.

Tu Aankhain band kary to Aaoun main hi nazar.

Is tarah main tery har khuwab ki taabeer ban jaoun...!!

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:06:28 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Paraishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:08:06 AM

Hina


Age: 39 Female
5037 days old here
Total Posts: 6841
Points : 152

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
KAhin Chand Rahon May Kho Gaya
Kahin Chandni Bhatak gyee..
Mae Chirigh wo bhi bujha hoa..
Meri raat kaisy Chamak gyee
Meri dastan ka urooj tha teri narm palkon ki chaon may
Tha tujhy mery sath jagna , teri aankh kaisy jhapak gyee.
bhala hum milain bhi to kya milain
na kabhi tumhary kadam barhay
na kabhi hamari jhijhak gyee


no likes.

Posted on February, 18 2011 02:17:33 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Bichar k tujh se ye khud ko saza di maine
teri talash main aik umer laga di maine
tujhe jo dil se nikala to yun laga jaise
apne ander koi deewar gira di maine

gounge behro main raha jaise koi nabina
zindagi tere bina aisay bita di maine
jis ka har lafz adhura raha sanam tum bin
zindagi aisi ik kitaab bana di maine
"UMAIR" us ko achanak se jo khoya to laga
zindagi aik hi lamhen main ganwa di maine

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:51:57 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Yeh Kaamyabiyan Izzat Yeh Naam Tum Se Hai
Khuda Ne Jo Bhi Diya Hai Maqam Tum Se Hai

Tumhare Dam Se Hain Mere Lahoo Mai Khilte Gulaab
Mere Wujood Ka Saara Nizam Tum Se Hai
...
Kahan Bisaat-E-Jahan Aur Mai Kamsin Aur Nadaan
Yeh Meri Jeet Ka Sab Ahtemam Tum Se Hai

Jahan Jahan Hai Meri Dushmani Sabab Mai Hoon
Jahan Jahan Hai Mera Ahteraam Tum Se Hai

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:53:39 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Tujhse bicharr k hum bhi muqaddar ke ho gaye
Phir jo bhi dar mila hai usi dar k ho gaye,

Phir youn huwa k ghair ko dil se laga liya
Andar woh nafratain theen k bahir k ho gaye,

Kia loag thay ke jaan sey barh kar thay umair
Ab dil sey mahw naam bhi aksar k ho gaye,

Aye yaad-e-yaar tujh se karain kia shikayatain?
Aye dard-e-hijar hum bhi to pathar k ho gaye

Samjha rahay thay mujhko sabhi nasehaan-e-sheher
Phir rafta rafta khud usi qahir k ho gaye,

Ab ke na intezaar karain charagar k hum
Ab ke gaye to koo-e-sitamgar ke ho gaye

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:55:43 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale

no likes.

Posted on February, 18 2011 02:57:15 AM

umair33


Age: 31 Male
5047 days old here
Total Posts: 1645
Points : 225

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Suno.. aay chand c larki.
Abhi tum titliyaan pakro.
Ya phir Guriyon sy khelo tum...
Ya phr masoom c Aankhon sy dheron khwab daikho tum..
Faraz-o-Faiz-o-Mohsin, ki kitaben mat abhi prhna..,
Ye sb lafzon k sahir hein.
Tumhein uljha k rakh dein gy
Tumhein Maloom he kab hai..
Mohabat k libady mein..
Hawas aur Hirs hoti hai..'
Ye insanon ki dunya hai.
Magr in sy kaheen barh kr.., yahan wehshi drinday hein...'
Wo wehshi jin ki Aankhon me..
Machalty piyar k peechy.
Hawas aur Hirs hoti hai..'
Abhi kachi kalii ho tum...,
Abhi kaanton sy mat khelo..,
Abhi apni Hatheli par..
Kisi ka Naam mat likho...,
Abhi apni kitabon mein
gulaabi phool mat rako...
Abhi Sheron Main Mat Oljho..
Abhi to Omr Baki Hay...
Abhi Khud Ko Smbhalo tum...
Abhi mat Gungunao Tum..
Abi Sy Ishq Mat Socho...
Abi Sub Bhool jao tum...
Suno A Chaand Si larki...

no likes.

Posted on February, 18 2011 03:00:27 AM