Wohi qisay hain wohi bat purani apni. Kon sunta hay bhala ram kahani apni. Her sitamgar ko yeh hamdard samajh laiti hay. Kitni khush fehm hay kambakht jawani apni. Roz milte hain darechey mein naey phool mjhe. Chor jata hay koi roz nishani apni. Dushmano se hi gham-e dil ka madawa mangain. Doston ne to koi bat na mani apni. Aaj phir chand ufaq per nahi ubhara MOHSIN Aj phir rat na gzry gi suhani apni....
no likes.
|