zabaan-e-hind hai urdoo to maathe kii shikan kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai merii mazloom urdoo terii saaNsoN meN ghuTan kyooN hai teraa lehjaa mahakataa hai to lafzoN meN thakan kyooN hai agar tuu phool hai to phool meN itanii chubhan kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai
ye naanak kii ye Khusro kii dayaa shankar kii bolii hai ye diiwaalii ye baisaakhii ye iid-ul-fitr holii hai magar ye dil kii dhaRakan aaj kal dil kii jalan kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai ye naazoN se palii thii meer ke Gaalib ke aaNgan meN jo sooraj ban ke chamakii thii kabhii mahaloN ke daaman meN wo shah_zaadii zabaanoN kii yahaaN be_anjuman kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai muhabbat kaa sabhii elaan kar jaate haiN mehfil meN ke is ke waaste jazbaa hai ham_dardii kaa har dil meN magar haq maaNgane ke waqt ye begaanaapan kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai ye dosheezaa jo baazaaroN se iThalaatii guzaratii thii laboN kii naazukii jis kii gulaaboN sii bikharatii thii jo tahazeeboN kii sar kii oRhanii thii ab kafan kyooN hai watan meN be-watan kyooN hai
no likes.
|