sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din Thehr ke dekhte hainsunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se so apne aap ko barbaad karke dekhte hain sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk uskii so ham bhii uskii galii se guzar kar dekhte hain sunaa hai usko bhii hai sheir-o-shaaiirii se sharf soham bhii maujzay apne hunar ke dekhte hain sunaa hai bole to baaton se phuul jharte hain ye baat hai to chal baat kar ke dekhte hain sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain sunaa hai hashr hain uskii Ghazaal sii aankhein sunaa hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hai.n sunaa hai din ko use titliyaan sataatii hain sunaa hai raat ko jugnuu Thehr ke dekhte hain sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai so usko surmaafarosh aankh bhar ke dekhte hain sunaa hai uske labon se gulaab jalate hai.n so ham pahaarh pe ilzaam dhar ke dekhte hain sunaa hai aaiinaa tamasal hai jabiin uski jo saadaa dil hain ban-savar ke dekhte hain sunaa hai uske badan ke taraash aise hain ke phuul apnii qabaaein katar ke dekhte hain sunaa hai uskii shabistaan se muttasil hai bahisht makeen udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n ruke to gardish uskaa tavaaf kartii hai chale to usko zamaane Thehr ke dekhte hain mubaalaGe hii sahii, sab kahaaniyaa.N hiin sahii agar vo Khvaab hai to taabiir kar ke dekhte hain
no likes.
|