Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti HaiQudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi! Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi! Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi! Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi! Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya! Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya! Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya? Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya? Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain! Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai? Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam Hai Haan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko! Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana Tera Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain! Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha! Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo! Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai? Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho Nahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne? Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne? Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne? Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne? The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho? Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho! Kya Kaha? “Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor! Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin Manfa’at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik, Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik! Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain? Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)? Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar? Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha’ar-e-Aghyar Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar? Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi Barq Taba’ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood! Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood, Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood? Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho! Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara’at Se Pak Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho! Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai, Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai? Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai? Woh Zamane Mein Mu’azzaz The Musalman Ho Kar Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem, Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim! Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi? Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe! Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe! Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho! Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai Ummatain Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se Nasha-e-Mai Ko Ta’aluq Nahin Pemane Se Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja! Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe Riffat-e-Shan-e-‘Rafaana La Ka Zikrak’ Dekhe Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain
no likes.
|