~~ EK KHUWAAB ~~ Raat phir khuwaab main aa kar mujhse Meri ammi ne kuch sawaal kiye Usse pahley mujhey duaa ye di Khuda karey ke tu sau saal jiye Unki aankhon main mohobbat bhi thi, Afsos bhi tha Ek aanso bhi tha un aankhon main Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha Mujhse poocha ke betey kaisey ho Koi diqqat to nahin hai tumko Phir kaha!!!! Tumko maloom hai kya Main bari takleef main hoon Jab se laiti hoon so nahin payee Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi Merey samjhaney main kami thi kya Ya meri tarbiyat adhoori thi Kyon burey kaam roz kartey ho Kyon nahin us khuda se dartey ho Jisney tumko ye jaan bakshi hai Jisney tumko amaan bakshi hai Laut kar jiske paas jaana hai Kya usey munh nahin dikhana hai Kya tumhein is liye padaya tha Kya tumhein yehi sab sikhaya tha Ki apney ilm par Guroor karo Apney nafs ko masroor karo Jab bhi bolo to bas galat bolo Zulm dekho to lab nahi kholo Chhor kar deen bhool kar mazhab Apni auqaat note main taulo Sach batao ki kya ye qissa hai ? Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya Main to Jee key bhi roz marti hoon Main tujhey roz yaad karti hoon Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney Uskey anjaam se main darti hoon Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka
booht lucky ho aap jink paas sach me MAA h......
no likes.
|