Tayyab96
Age: 28
4634 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149
Location:
Gujranwala, Pakistan
Status : Offline |
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ? TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz” Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere
no likes.
|