Forums > Poetry / Ghazal Corner > dayar-e-gair
  • Page 1 of 1
  • 1
waheedanjum


Age: 32 Male
4829 days old here
Total Posts: 317
Points : 42

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : dayar-e-gair
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

no likes.

Posted on November, 02 2012 11:51:05 AM


bawa125


Age: 34 Male
4436 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Kabhi is ka,kabhi uska,kabhi mera hua Muhsin,
Us ne ganwa diya husan Tijarat krte krte...

no likes.

Posted on November, 02 2012 02:34:47 PM

saim14399


Age: 31 Male
4658 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Woh ek bat bohat talkh Kahi thi us ne,
Baat to yad nahi, Yaad hai Lehja us ka

no likes.

Posted on November, 03 2012 09:58:28 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4456 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Ishq ne seekh li hai waqt ki taqseem ke ab,
Woh mujhe yaad to aata hai magar kaam ke baad.

no likes.

Posted on February, 05 2013 06:27:53 PM

  • Page 1 of 1
  • 1