Subject : aanchal aik aanchal say bandha hai sab kuchaik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont aik sandal ki unaabi pencil aik beyrabt ka ukhra hua khat aik adad card jis ko chooney say teri yaad chali aati hai aur is card main rakhi hui akloti palak jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai kisi gumnaam say shaair ka adhura misra aik paazaib say bichra hua ujla mauti aik murjhai hui zard chanbali ki kali jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain aik boseeda sa question paper jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori aik toota hua halka sa gulabi naakhun aik gadla sa tissue paper bhi jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera aik aanchal say bundha hai sab kuch! aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!
no likes.
|