ye maanaa zindagii hai chaar din kii bahut hote hai.n yaaro chaar din bhii Khudaa ko paa gayaa vaa_iz magar hai zaruurat aadamii ko aadamii kii milaa huu.N muskuraa ke us se har baar magar aa.Nkho.n me.n bhii thii kuchh namii sii thii muhabbat me.n kahe.n kyaa haal dil kaa Khushii hii kaam aatii hai na Gam hii bharii mahafil me.n har ek se bachaakar terii aa.Nkho.n ne mujh se baat kar lii la.Dakapan kii adaa hai jaan-levaa Gazab kii chhokarii hai haath-bhar kii raqiib-e-Gamazadaa ab sabr kar le kabhii us se merii bhii dostii thii
no likes.
|