Forums > Poetry / Ghazal Corner > be-kaar
tariqjavaid


Age: 62 Male
4852 days old here
Total Posts: 5615
Points : 209

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : be-kaar

be-kaar


Dilon men farq parh jaey to us be-dard saa’at men..

Daleelen, mantaqen aur falsafey hotey hain…


no likes.

Posted on October, 25 2012 02:52:13 PM


salubhai169


Age: 31 Male
4476 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:52:38 AM

sahilgee169


Age: 31 Male
4445 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
My love for you is like water,
Falling countless??
The beating of my heart,
For you is so heavy and soundless,
The feeling of being in your arm is so
Precious and endless.

no likes.

Posted on November, 12 2012 01:00:25 PM

Rohama


Age: 30 Female
4491 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,
Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..

no likes.

Posted on November, 12 2012 05:48:54 PM

bawa125


Age: 34 Male
4475 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Dil Dukhaya Karo, Ijazat Hai... Tumhey..
Bhool Jaane Ki Baat Mat Karna.....

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:31:08 AM

riabest


Age: 33 Female
4478 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
bohat hi chaah se, hasrat se dekhte hain log,
Phir aayiney ko bhi wehshat se dekhte hain log,
Badal diya hai mujhe hijraton ke mausam ne,
Jidar bhi jata hoon khairat se dekhte hain log,
Najane mujhpe yeh kya tu ne parrh ke phoonka hai,
Meri taraf bhi mohabbat se dekhte hain log,
Yahan har aankh pe tera hi hukkam chalta hai,
Sau tujh ko teri ijazat se dekhte hain log,
Yeh kya kashish hai teri jheel jesi ankhon mein,
Jo aese shauq-e-shahadat se dekhte hain log,
Main phir bhi us ko mohabbat ka naam deta hoon,
Mujhe khabar hai murawat se dekhte hain log,
Tum aese kab ho ke shamsheer koi dekhe tumhe,
Yeh jaan lo kisi nisbat se dekhte hain log.

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:56:46 AM

aarzoo


Age: 32 Female
4478 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
meray Muskan Ke Chaukhat Per Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho
Qadam Laatay Nehi Aagaiy Kaho Ab Kyun Satatay Ho
Tumhari Chaap-e-paa Sunn Kar Hum Othh Kar Baith Jaatay Hain
Batao Neind Sai Hum Ko Tum Aisay Kyun Jagatay Ho
Abhi Tau Hum Nai Seekha Hai Furqat Main Saber Karna
Humaray Saber Ke Manzil Ko Itna Kyun Hilatay Ho
Tumhain Hum Sai Mohabat Hai Gila Hai Yaa Shikayat Hai
Ye Khud He Faisla Karlo Humain Kyun Aazmatay Ho
Bardi Mushkil Sai Rakha Hai Qadam Hum Nay Zamanay Main
Meray Mohsin Meri Koshish Ko Mushkil Kyun Banatay Ho
Sada Hum Nay Tumhari Zeest Mai Dhoondi Jaga Apni
Ab Apnay Dil K Derwazay Ko Khula Kyun Dikhatay Ho
Tumhi Nai Taud Dalaiy Thhay Subhi Rishtay Mohabat K
Na Mehrum Ban K Jeenay Ka Saleeka Kyun Sikhatay Ho
Shaukat Qaid Karlo Ab Khod Ko Tum Faseelon Main
Bheri Duniya Ko Apna Tum Tamasha Kyun Dikhatay Ho..

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:25:55 PM

Lioness


Age: 32 Female
4459 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Mujay tumhari Judai ka koi gham nahi,
Meray khiyal ki Duniya main meray pass ho tum

no likes.

Posted on November, 14 2012 10:28:35 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4476 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Shar Ke Aage Sar Uthaana Chaahiye,,
Haq Ki Khaatir Sar Kataana Chaahiye,,

Zulm_o_Istabdaad Ki Had Ho Chuki,,
Aah Ko Ab Rang Laana Chaahiye,,

Roshni Jis Ki Dilon Tak Ja Sake,,
HaaN..! CharaaGh Aisa Jalaana Chaahiye,,

Eid Ka Din Hai Meri Jaan Aaj Toh,,
Ranjishon Ko Bhool Jaana Chaahiye,,

Husn Ke Teeron Se Shehr_e_Ishq Ke,,
Aabginon Ko Bachaana Chaahiye,,

Jalne Ko Be_Taab Hain Parwaane Aaj,,
Sham'ma Ko Mehfil Mein Laana Chaahiye,,

Aashiqon Ko Aah Bhi Zaiba Nahin,,
ZaKham Kha Kar Muskuraana Chaahiye,,

Tishna Lab Um'meed Ko Misl_e_Hubaab,,
Paida Hote Toot Jaana Chaahiye,,

Khul Na Jaay'ain Aib Chehre Ke Kahin,,
Aaine Se Moonh Chupaana Chaahiye,,

Doston Ki MuKhlisi Ki Jaanch Ko,,
Dostoon Ko Aazmaana Chaahiye,,

Sarfraazi Ke Liye Ae WARD,,
Bus! Rab Ke Aage Sar Jhukaana Chaahiye...

no likes.

Posted on November, 14 2012 10:51:52 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4651 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa

ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa

ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa

ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa


no likes.

Posted on November, 15 2012 01:27:43 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4495 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Qurbato’n mein bhi judaai ke zamane maangey,
Dil woh dheeett ke roney ke bahaney maangey

no likes.

Posted on February, 05 2013 06:23:00 PM

hearthackervsgirls


Age: 40 Male
4202 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
kya bat hai yar
buhat achi poetry hai
carry on all members

no likes.

Posted on July, 16 2013 12:12:47 PM

0irha0


Age: 31 Female
4341 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Humen ne tarak e taluq me pehal ki k faraz,
Wo chahta tha magar hosala na tha us ka.

aap hosla barha deti

no likes.

Posted on July, 25 2013 01:13:30 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4651 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki

Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki

Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki

Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?

Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?

Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?

Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki

Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

no likes.

Posted on August, 30 2013 12:59:15 PM