Forums > Poetry / Ghazal Corner > yaqeen
tariqjavaid


Age: 62 Male
4852 days old here
Total Posts: 5615
Points : 209

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : yaqeen
yaqeen


Baqa-e-husn-o-ulfat pe yaqeen kitna tha dono ko..


Yahan her cheez fani hy na ham samjhe na tum samjhe..

no likes.

Posted on October, 25 2012 02:44:51 PM


riabest


Age: 33 Female
4478 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Ye door wo hai k bethe raho charagh tale,
Sabhi ko bazam me daikho magar dikhai na de,,.

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:03:06 AM

bawa125


Age: 34 Male
4475 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Phir Tishna Labi Zakham Ki Daikhi Nahi Jati
Phir Mang Raha Hon Tere Aane ki Duaa'ein....

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:30:48 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4476 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:56:49 AM

sahilgee169


Age: 31 Male
4445 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
I'm with you reading this ,
Looking at your eyes and your lips,
Touching your lips softly with my fingertips.
Making love to you in every kiss

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:56:57 PM

Rohama


Age: 30 Female
4491 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Achay Tum Aaye Daikhnay Apny Mareez Ko...!!
Aankhain Dikha K Oor Bhi Beemaar Kar Diya..!!

no likes.

Posted on November, 12 2012 05:51:23 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4817 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye,
Laut aao na mere yaar zamane ke liye,
Is liye bhi teri tasveer jala di mene,
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye,
Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari,
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye,
Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein,
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye,

no likes.

Posted on November, 12 2012 09:02:51 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4817 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Gham-e-hayaat pareshaan na kar sake ga mujhe,
Ke aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka..

Jaan tu kis ke liye apni ganwaata hai Adeem,
Khoobsurat hai woh lekin tera kya lagta hai?

no likes.

Posted on November, 12 2012 09:04:30 PM

salubhai169


Age: 31 Male
4476 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye

no likes.

Posted on November, 13 2012 09:01:04 AM

bawa125


Age: 34 Male
4475 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Pee lain jo kabhi shaikh to pi pi k pukaaren...!

Aey saqi-e-mai'khana zara aur, zara aur...!


no likes.

Posted on November, 13 2012 11:20:45 AM

riabest


Age: 33 Female
4478 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
rakhna yaqeen wafa per dil main na bal rakhna
In dard k lumhon ko tum bhe sambhal rakhna
Bayshuq ye loog teray jazbon say khoob khailain
Laikin tum dil main apni darkan bahal rakhna
Main dooor hon agarchay ik din main aa miloon ga
Jub tuk tum iss milon ka rusta nikaal rakhna
Rakhna sumait kar tum tukray meray jigar kay
Apni bhi jaan say zada in ka khayal rakhna
Oor jab tumhain satayien tanhaiyun ki raatain
Aankhon ko bund kar k mairay he khowab rakhna
Main loat ker na aaon tau aglay janum miain gaiy
Jub tak tumhain qasam hay apna khayal rakhna.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:07:03 PM

aarzoo


Age: 32 Female
4478 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai
Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai
Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai
Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai
Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:19:37 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4651 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:30:46 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4495 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Jism pathar, pathron mein jaan hai,
Kya koi iss sheher mein insaan hai?

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:25:13 PM