Forums > Poetry / Ghazal Corner > Befawa dost
bawa125


Age: 34 Male
4445 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Befawa dost (closed)
Mayoos Ho Gayi Hon Main Zindagi Kay Iss Safar Say..!!!
Maqsad Ki Mohabat Aur Matlab Ki Dosti...



no likes.

Posted on October, 11 2012 12:04:21 PM


bawa125


Age: 34 Male
4445 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Teri Khoobsurti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte ...
,
Hujoom-e-Husun Main To Tum Nawab Lagti Ho ..

no likes.

Posted on November, 01 2012 11:21:24 AM

saim14399


Age: 31 Male
4667 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Yon to hum dono me hain kitne
zamane hael,
Tum bulate ho lamhe me palat ata hon.

no likes.

Posted on November, 02 2012 07:06:38 AM

bawa125


Age: 34 Male
4445 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Sab Khasaaro’n ko Jama Kar Kay Ye Haasil Niklaa,

Dil-e-Nadaa’n Ki Koi Baat na Maani Jaaye……!!

no likes.

Posted on November, 02 2012 10:23:08 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Parday saaray rung pheekay teri baywafaiyon say
Main jahan jahan say guzra hoe meri jug hunsaie

no likes.

Posted on November, 02 2012 05:51:39 PM

saim14399


Age: 31 Male
4667 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tera Khayaal Bhi Teri Tarah Mukammal
Hai……
Wohi Shabaab, Wohi Dilkashi, Wohi
Andaaz…!

no likes.

Posted on November, 03 2012 09:46:13 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4446 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga,
Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga,
Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha,
Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga,
Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada,
Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga,
Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai,
Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga,
Shayar hain yeh sochna hoga “kese sab kuch kehna hai”,
Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga,
Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum,
Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga,
Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki,
Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga..

no likes.

Posted on November, 03 2012 10:58:39 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Guzraa hai mohabbat main kuch aesa bhi zamana,
Rootha hoon agar main to manaya hai kisi ne.

no likes.

Posted on November, 04 2012 12:44:17 AM

saim14399


Age: 31 Male
4667 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
“Faraz” Mohabbat Ke iLawa Paas
Apnay Kuch Nahi
Isi Doulat Ko Ham Qismat Ke Maaray
Baant Laitay Hain

no likes.

Posted on November, 04 2012 08:15:26 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4446 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Kaha us ne banayen barff ka ik khoobsurat ghar,
Kaha mene december mein hawayen sansanti hain,
Kaha us ne december ki chamakti chandni dekhi,
Kaha mene tere baad mene kuch nahin dekha,
Kaha us ne december mein teri yadain satati hain,
Kaha mene meri jana mohabbat kab bicharti hai,
Kaha usne teri yaadain jalati hain mera aanchal,
Kaha mene december ko chalo phir se bulate hain..

no likes.

Posted on November, 04 2012 09:47:39 AM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Aalam main jis ki dhoom thi uss shahkaar per,
Deemak ne jo likhe woh tabsrey bhi dekh..

no likes.

Posted on November, 04 2012 07:17:41 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Tu buraa kyon manta hai meri har aik baat ka,
Tujh ko andaaza nahin shayed mere halaat ka,
Us ne ab ke mausmon ki is tarah taqseem ki,
Mere hissey mein na aya phall mere baghaat* ka,
Main pareshaan hi kahan apni pareshaani se hoon,
Mera sara dukh to hai bass teri kayenaat ka,
Jab yahan ke log sarey din ke sathi hain to phir,
Kon manzar dekhne aata hamaari raat ka,
Is tarah us ke dukhon ne mujh ko pathar kar diya,
Ab mujhe sadmaa nahin hota kisi ki baat ka,
Woh Shabana aaj kal mera mukhaalif* hai bohat,
Jo kabhi hissa hua karta tha meri zaat ka..

no likes.

Posted on November, 04 2012 07:21:15 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Talb-e-dard mein dil hadh se guzarta kab tha,
Tum ne poocha tha ke aur, us ne kaha aur sahi..

no likes.

Posted on November, 04 2012 07:23:29 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Jaanay Ta Umer Ose Kis Ne Akaila Rakha
Jaanay Os Shaks Ka Paimaan-e-Wafa Kis Se Tha

no likes.

Posted on November, 04 2012 09:59:56 PM

saim14399


Age: 31 Male
4667 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Mooh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To
Hoga
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne
Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga

no likes.

Posted on November, 05 2012 07:32:44 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4446 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Rah_E_Wafa Me Sazaon Ko Kon Dekhy Ga,
Safar He Dhoop Ka Chaon Ko Kon Dekhy Ga,
Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen LenGe Tuje,
Tere Shehar Ki Ghataon Ko Kon Dekhy Ga,
Bichar To Jayen Magar Phir Khayal Aata Hai,
Teri In Dilkash Aadaon Ko Koun Dekhy ga.

no likes.

Posted on November, 05 2012 09:48:40 AM

aarzoo


Age: 31 Female
4448 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Idhar aa sitamgar hunar azmayein,
Tu teer aazma hum jigar azmayein?,,,,

no likes.

Posted on November, 05 2012 04:33:05 PM

khuramms


Age: 41 Male
4709 days old here
Total Posts: 5939
Points : 224

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Tumse Kya Shikwa E Dost Bewafai Ka
Jab Mujhse Mera Nasib Hi Rooth Gya
Sach To Ye H Dost Mai To Wo Khilona Hu
Jo Badnasib Khel Hi Khel Me Tut Gya

no likes.

Posted on November, 05 2012 05:46:49 PM

ZaiN007


Age: 30 Male
5025 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Kisi se kya gila karna yeh dostoor-e-zamana hai,
Naye jab dost miltay hain puraanay bhool jatay hain..

no likes.

Posted on November, 05 2012 06:31:15 PM

ZaiN007


Age: 30 Male
5025 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai
Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai
Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai
Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai
Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua
Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai

no likes.

Posted on November, 05 2012 07:02:49 PM

riabest


Age: 33 Female
4448 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Tanha ghar say bahir jana theek nahi,
Tum Masum ho aur zamana theek nahi,
Saaf dilon ko phir se mela kr den gi,
Guzri baton ko dohrana theek nahi,
Aisi cheezen door se achi lgti hain,
Chand ko apne pas bulana theek nahi,
Aao mre hath pe apna hath rakho,
Saa’el ko khali lotana theek nahi,
Rafta Rafta tabiren beh jati hain,
Num ankhon mein khwab sajana theek nahi,
Chor “dost” in Pathr dil insanon ko,
Apne Dil ka hal sunana theek nai....

no likes.

Posted on November, 05 2012 07:59:31 PM