Subject : STORY:-Mulazma Say Malik Bani Meray walid sahib aik ausat darja kay sarkari mulazim thay aur ham kul chay behan bhai thay mein sab say bari thi. Buray bhalay din bhi sakoon say guzar rahe thay ham rukhi sukhi kha kar khush thay ghar mein koee jhagra nahin tha ammi abbu piyar-o-mohabat say rehtay thay. Hamara khayal rakhtay thay bay shak moashi tor par khush hal na thay laikin do waqt ki roti meyassar thi. In dinon meri umar pandrah baras thi aur mein naween jamat ki taliba thi jab aik din yeh hadsa huwa aur ham sab ko salkhi halat kay sapurd karkay walid sahib khaliqe haqiqi say ja milay. Woh office kay kam say kisi kam say ja rahe thay kay lamha hark o aik thanay kay qarib gari ko rokna para aur isi waqt bam dhamaka hogaya doosray kaee bai gunah logon kay sath woh bhi anan fanan luqmae ajal ban gaey. Yeh hadsa jankah tha ham par qayamat toot pari ham to bas jitay ji margay.kiya bataoon kiya hal huwa qalam mein taqat nahin kay abbu ki judaee ka dukh bayan karsakoon piyaron ki daimi judaee bohot satati hai magar yahan to rozi roti ka bhi masla tha mehangaee kay is dor mein ghurbat ka bhiyanak roop daikhnay ko ab mila tha ait ki majburiyan moon kholay khari theen. Akhrajat kahan say pooray hotay walid sahib hamaray wahid kafeel thay waldah an parh theen.woh gharailu kam kaj kay alawah kuch na janti theen…ab sawal yeh tha kay ham zindagi kaisay barqarar rakhain walid sahib na koee jama poonji bhi nahin chori thi sance aur jisam ka rishta barqarar rakhnay ko raqam chahiye thi. Aik roz hamari mulazma aaee jab abbu zinda thay yeh aurat hamaray ghar mein jharu poncha karnay ati thi tab woh do so rupai mahana laiti thi walda nay kaha masi ab to mein bewah hogaee hoon kamanay wala bhi koee nahin raha ghar mein khanay ko nahin hai mein tum ko nahin rakh sakti kamanay wala fot hogaya mein to bachon kay talimi kharch bhi bardasht nahin karsakti kuja mulazima rakhoon mein nay sab bachon ko school say utha lia hai.masi ko bohot afsos huwa boli hai hai sahib na martay to aap kay bachay taleem say mehroom nahotay shameela bibi ko to matric karado is ko school say na uthao matric karkay kisi school mein teacher hojai gee. Aap ko sahara mil jaiga.masi ki bat sahih thi walda woch mein pargaeen magar jahan roti ka niwala meyassar na ho aur saat afrad khane walay hon wahan aik taliba ko matric karana bhi mushkil tha tab masi boli bibi kis soch mein ho….yehi soch rahi hoon na ….kay matric ka kharcha kaisay pura karogi. Yun karo kay us ko sarkari school mein dakhil karado aap kay ghar kay peechay hi to hai sal guzartay dair na lagay gee sham ko isay maray sath bhaij dia karna maan hairat say masi ka moon taknay lagi. Hairan mat ho bibi halat sada aik say nahin rehtay halat ka muqabela karna parta hai jahan mein kam karti hoon woh bohot achay log hain un ko aik lurki chahiye jo sham ko thora sa kam karday.sham ki chai banaday aur chai kay bartan dhoday. Bas ghanta bhar un kay haan rehna paraiga woh kehtay thay lurki thori parhee likhi ho agar mehman ajain to chai ki tray saliqay say in kay samnay lakar rakhay…bibi…woh achi tankhowah dain gay tumhari bachi ka matric ka kharcha nikal aaey ga yeh metric kar paigee to tum ko umar bhar duain daigee pehlay to maan razi na huee laikin phir masi kay dalail nay un ko qail karliya aur phir unhon nay badile nakhowasta sirf meray behtar mustaqbil ki khatir yeh bat man li school say do bajai ghar ati khana khati thora sa aram karti phir masi mujhe lainay ajati woh mujhe un kothi mein lay jati jahan khud sara din kam kiya karti thi wahan mein thora sa us ka hath batati is terha jo mahana tankhowah milti is say meri fees aur kitabon ka kharcha nikal ata. Waqt tezi say guzar gaya aur mein nay matric pas kar liya ab mein khush thi kay result aatay hi mujhe mulazmat mil jaigee aur mein yeh kothi ka kam choar dun gi masi wala kam to majboorat duniya walon say chup kar karti thee pas paros mein yehi keh rakha tha sab say chupaya huwa tha. Matric ka result agaya mein achay number lay kar pas hogaee ab marhala tha mulazmat talash karnay ka kaee schoolon mein gaee laikin mulazmat na mili pata chala kay dar haqiqat matric pas ki to koee "value" hi nahin hai yahan to mamooli mulazmat kay liye M.A. pas log minnatain kartay hirtay hain school aur chaprasi tak M.A. pas thay. Dil bujh gaya…jis umeed par kothi mein mulazma huee thi woh puri na huee tab masi nay kaha beti mein kam chor rahi hoon mujhe ghar kay pas aik kothi mein kam mil gaya hai yeh kothi tumharay ghar say qarib haia agar tum meri jagha kam sanbhal lo to char hazar tunkhowah milaigee tum college na ja sakeen…tumharay behan bhai zaroor school ja sakain gay aur kuch roti pani ka bhi yahan say asra hojai gay eh bohot achay log hain.waqee bohot achay log thay malika bohot piyar aur shafqat say paish ati thi socha jab pehli bar koee kam halka samajh kar samjhotay kay tehat karlo to phir jhijhak khatam hojati hai ab jab pardah utar hi gaya hai to ait ka dozakh bharnay ki khatir isi kam ko jari rakho mera nahin to maray behan bhaiyon hi ka mustaqbil ban jaiga…yeh soch kar matric pas larki nay jharu ponchay,dusting,bartan aur kapray dhonay ki mulazmat qabool karli pait bara papi hai ammi bimar rehnay lagi theen. Mein nay charon behan bhaiyon ko school dakhil karadiya jabkay akhri choti behan kamzore sit hi school nahin ja sakti thi woh ghar mein ammi kay pas rehti. Nasibon ki bat hai oonchai awarish rakhnay wali kothiki masi ka roop dhar liya magar meri uthti jawani thi rukhi sukhi mein bhi roz bar oz roop nikharta jar aha tha logon ki bad nazrain peecha karnay lageen. Jab ghar say nikalti bari si chadar mein khud ko chupa laiti laikin husn ki chandni phail rahi thi roop ki kirnain chadar say bhi phuti parti theen.
no likes.
|