Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi Ke dhoop chayon ka alam raha,judaai na thiNa apna ranj na auron ka dukh,na tera malal Shab`e firaq kabhi hum nay yun ganwayi na thi Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha Shikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi Kisay pukaar raha tha wo doobta howa din ? Sadaa tiu aayi laikin koi duhaayi na thi Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat Kabhi yeh marhala jaisay keh ashnayi na thi Ajeeb hoti hay rah`e sukhan bhi dekh naseer Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasayi na thi
no likes.
|