Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele Dil Ka Ye Haal Kahan Tha PheleAb Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin Is Qadar Door Kahan Tha Phele Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir” Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele
no likes.
|