Patthar tha magar barf k gaalon ki tarah tha.. Ek shakhs andheron main ujaalon ki tarah tha. Khwabon ki tarah tha na khayalon ki tarah tha. Wo shakhs ilm-e-riyazi k sawalon ki tarah tha. Uljha hua aisa k sulajhny na paey. Or Suljha hua aisa k misaalon ki tarah tha. Woh mil tu geya tha magar,apna he muqaddar. Shatranj ki uljhi hoe chaalon ki tarah tha. Woh rooh mai khushbu ki tarah ho geya tehleel. Jo duur bohat chaand k haalon ki tarah tha.
no likes.
|