Forums > Poetry / Ghazal Corner > Ghazal
gmirfani


Age: 47 Male
4458 days old here
Total Posts: 60
Points : 37

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : Ghazal (closed)
[justify]Uss key nazdeek Gham-e-Tarkey wafa kuch bhi nahi
Mutmaeen aisay hai wo jesey hua kuch bhi nahi

ab to haathon ki lakeerian bhi miti jati hain
usko kho kar to merey pas raha kuch bhi nahi

Char din reh gaye meley mai magar ab key bhi
uss ne aaney k liay khat mai likha kuch bhi nahi

Kal bicharna hai to phir Ahed-e-wafa soch k bandh
abhi aghaz-e-mohobbat hai gaya kuch bhi nahi

Shumaar iss tarah he aankhain bichaye rakhna
janey kis wakt wo aajaye pata kuch bhi nahi[/justify]

Collection By:
GHULAM MUSTAFA
(GMIRFANI)


no likes.

Posted on September, 18 2012 11:55:18 PM


rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Bikhrti sham ki parchaiyaan mujhey day do

Tum apni shaam ki tanhaiyaan mujhey day do

Main tum ko yaad karoon or tum chaley aao

Tum apney pyaar ki suchaiyaan mujhey day do

Main doob jaoon tumhari udaas ankhoon mein

FARAZ'' Tum apney dard ki gehraiyan muje de dø

no likes.

Posted on September, 24 2012 06:52:42 PM

khuramms


Age: 41 Male
4709 days old here
Total Posts: 5939
Points : 224

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Zabardast yaaaron....

no likes.

Posted on September, 24 2012 06:54:10 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kuch yadain taza karni hain,
Kuch lamhay mor k lanay hain,
Kuch taaray torr kay laanay hain,
Wo masti or wo madhoshi,
Wo bachpan mor k lana hay,
LOT K AA JANA,
Ab dil ko dil ki dharkan se
phir JAND min mubarak kehna hay,
Ab sath bohot din rehna hay,
IY SONOO LOT K AA JANA.

no likes.

Posted on September, 24 2012 08:49:00 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Be Basi, Be Kuli, Be Khudi De ..Gaya..
Kuch Naye Tajrubay, Ajnabi ..De Gaya..
Sochne K Lie, Pal Ki Muhlat ..Na Di..
Jagnay K Lie, Ik Sadi De ..Gaya..
Lay Gaya Jaan-o-dil, jism Se khainch ..kar..

no likes.

Posted on September, 25 2012 09:13:12 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Teri Hasti Se Teri Zaat Se Khushbu Aaye
Tu Jo Boly To Teri Bat Se Khushbu Aaye ,
TujhKo Dekhon To Meri Aankh Mehak Si Jaye ,
TujhKo Sochon To Khyalaat Se Khushbu Aaye ,
Tu Chambeli Hy’ Nargis Hy K ! Raat Ki Rani ,
TujhKo Chuu Lon To Mere Hath Se Khushbu Aaye”…

no likes.

Posted on September, 26 2012 05:44:53 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mere zarf ka ye kasoor tha, Main dard-e-Dil na chupa saka

Mere zarf ne bhi dagha diya, Main to zarf bhi na bacha saka!

Mera nafs ik alaäow tha meri rooh tak ko nigal gya

Main khwahishon k is alaow ko na jala ska,na bujha ska

Jo deein doston ne aziyaten,thein wo dushmanoun ki inayaten

Main tamam umer dara raha,koi dost phir na bana ska

Mujhe muflisi ne thaka diya,mere walwalon ko sula diya

Mujhe log ye keh kr judaa huay, ‘ye to kuch b na bana ska’!

no likes.

Posted on September, 27 2012 08:35:11 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ishaq sehra hai k dariya kabi sochey wo b,

Us se kya hai mera nata kabi sochey wo B,

Han main tanha hon ye iqrar b kar leta hon,

Khud b kitna wo tanha hai kabi sochey wo B,

Ye alag baat jataya nahi main ne us ko,

Warna kitna usey chaha kabi sochey wo B,

Usey Awaz likha’ Chand likha’ Phool likha,

Main ne kya kya usey likha kabi sochey wo B,

Mutmain hon usey lafzon ki hararat de kar,

Main ne kitna usey socha kabi sochey wo B.

no likes.

Posted on September, 30 2012 11:25:03 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ye bikhri si zulfain ye phela sa kajal

Ye bechain ankhe ye simta sa anchal

Tere haal se log pehchan lein ge

Tujhe dekh kar sab mujhe jaan lein ge

Ye behky kadm larkharati jwani

Ye betab dil aur mohabt dewani

Shafak jasiay galon pe ubhri hoi hai

Mere honton ki ik Mehkti nishani

Tere jism se urrti meri ye khushboo

Suna degi har ek ko sari kahani

Na ban jae apna milan ek fasana

ABHI GHAR NA JANA.
ABHI GHAR NA JANA.

no likes.

Posted on October, 01 2012 10:10:10 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Meray Hont mat see
mujy izhar ka moka de de

ishq jurm ha to iqrar ka moka de de

ankho ankho he me keh lo ga jo kehna ha mujy

1pal k liye dedar ka moka de de

kr le tasleem mri khamosh mohbt

ya sar-e-aam mujhe piyar ka moka de de

khatm kr de
dr-o-deevar ki hr pabndi

ya mujy apny bazuaon ki kaid de de.!

no likes.

Posted on October, 02 2012 08:28:01 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Buht totay Hoy hain HUM,
Abhi Dastak Nahi Dena,

Hmari aankh hy Purnam,
Abhi Dastak Nahi Dena,

Mery Yaro abi kuch Din,
Meray ahwaal Mat Pocho,

Abi Dil mein bht hy GHAM,
Abi Dastak Nahi Dena,

Shab-e-tanhai Mein ab bi,
Tarrapna hay buht Mujko,

Abi hay “DARD” kuch Madham,
Abi Dastak Nahi Dena …

no likes.

Posted on October, 03 2012 08:33:50 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tum Mujhay
AL-Wida Nahi kehna

Tum Se Naata Hay Yun Wafaon ka

Jaisy khushbu Se Hay Hawaon ka

Jaisay Honton Se Hai Duaon ka

Jaisay Rishta Hai Dhoop Chaon ka

Jaisay jismoon Se Aatmaoon ka

Jaisay Poja Se Devtaon ka

Saray Bandhan Na Tor k jana

Ab Tere Bin Mujy Nahi Rehna

Tum Mujhy
AL-Wida Nahi kehna!!

no likes.

Posted on October, 07 2012 09:29:42 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mere qatil ko pukaro k main zinda hun abi

Phir se maqtal ko sanwaro k main zinda hun abi

Ye shab-e-hijar to sathi hai meri barson se

Jao so jao sitaro k main zinda hun abi

Ye preshan sa chehra nhi dekha jata

Apni zulfon ko sanwaro k main zinda hun abi

Lakh mojon me ghira hun abi dooba to nhi

Mujko sahil se pukaro k main zinda hun abi

Qabr se aj b “KAMI” ki ati hai sda

Tum kahan ho mere yaro k main zinda hun abi…

no likes.

Posted on October, 08 2012 09:13:05 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Jab pyaar kisi se hota hai kya shokh zamane lagte hain,
Marne ke sahaarey milte hain jeene ke bahane milte hain,

Mehfil mein kabhi jo log humain ik aankh utha kar na dekhen,
Woh tanhaiyon mein aa ke humain kyon itne suhaney lagte hain,

Bachpan ki umangon ke rukh se phir kya kya aanchal uthte hain,
Maazi ke khayalon mein hum ko jab yaar puraney milte hain,

Yeh rah’guzar hai ulfat ki, yahan pass kahan, ehsaas kahan,
Yahan hamrahi apne apne dukh dard sunaney milte hain,

Yu’n tanha tanha kuch bhi nahin chahat ka bane tab peera’hn,
Jab husn aur ishq ke aapas mein sab taaney baaney milte hain,

Gar baat barhi to phir kya hai? aye jane tamana! dar kesa ?
Pardon mein rehne walon ke kya kya na fasaney milte hain,

Kuch tanha tanha Saaqi bhi rehte hain khayalon mein kho kar,
Jab taaza ghazal keh lete hain phir hum ko sunaney milte hain..

no likes.

Posted on October, 11 2012 09:14:57 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Zameen sy anch zameen tord kar nikalti hy
ajab tashnagi en badlon sy barasti hy

Hamary ehad mai nayab hy bachaey raho
tumhari aknh mai ek cheez jo chamakti hy

Siron pay dhoop ki ghardi uthay phirty hay
dilon mai jin ki bardi sard raat hoti hy

Khardy khardy mai safar kar raha ho barso sy
zameen aon ke nechy kaha teharti hy

Pighal rahi hay chattaney naheef bahon mai
badan mai piyar ke kesi ajeeb garmi hy

Hawa ke ankh nai,hat or paon nahi
esi lieye wo sabhi raston pay chalti hy

no likes.

Posted on October, 12 2012 09:39:09 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
koi haath nahi haali hai
baba ya nagree kaisi hai

koi kisi ka dard na janay
sab ko apni apni paree hai

is ka bhi kuch haq hai aakhir
is na mujh sa nafrat ki hai

phool dawa jaisay mehak hain
kisi bemar ki subah hui hai

kaisay katay ki tanhaa tanhaa
itni saree umr paree hai

hum donon ki khoob nibhay gi
main bhi dukhi hn wo bhi dukhi hai

ab gham sa kia naata torrain
zaalim bachpan kaa saathi hai

dl ki haamooshi par na jao
raakh k neechay aag dabi hai

no likes.

Posted on October, 14 2012 03:41:13 PM

atif03


Age: 47 Male
5007 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
wh wah kia kahny janab aap logo kay

no likes.

Posted on October, 14 2012 03:46:50 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
msaafr ki rastay badaltay rhay
muqadar main chalnaa tha chaltay rhay

koi phool sa haath kaandhay par thay
meray haath sholoon par chaltay rha

meray raah main ujaala rha
diay iski aankhoon main jaltay rhay

muhabbat, adawat, wafa, ba rohi
kraaya k ghar thay bdaltay rhay

suna hai unhain bhi hawa lag gayee
hawaaon ka rh jo badaltay rhay

wo kia tha jisay hum na thukraaa dia
mgr umr bhar haath miltay rhay

no likes.

Posted on October, 15 2012 11:21:29 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4613 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Yahan kya funy ghazal hain?
Omer bhai ghazal ka topic mastibox main?

no likes.

Posted on October, 16 2012 03:32:39 PM

Rohama


Age: 30 Female
4461 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Hum Jo Hanastay Howe Achay Nahi Lagtay Tumko..

Hukam Karo Aankhen Abhi Jheel Kiye Detay Hain..

no likes.

Posted on October, 16 2012 03:44:27 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4465 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
ham dua dety rahy wo dagha samjhty rahy,
ik nuqty ne hamen mehrm se mujrim bna dia

no likes.

Posted on October, 16 2012 04:20:13 PM