BeHappy
Age: 30
4624 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89
Location:
Lahore, Pakistan
Status : Offline |
Subject : AZEEM REHNUMA Quaid e Azam wo azeem shakhsiathain jin ka baray main likhtay huay aur baat kertay huay hamesha alfaz kam per jatay hain.Aap humaray mohsin aur rehbar hain.her lehaaz say ek ideal;jin ki shakhsiat ko madd e nazar rakh ker hum khud ko aur apnay watan ko bohot agay le ja saktay..sahi manon main ek mard e momin aur mard e qalandar. shayed Allama nay ye nazm Quaid e azam ki shakhsiat ko hi samnay rakhtay huay likhi thi: her lehza hai momin ki nayi shan nayi aan guftar main kirdaar main Allah ki burhaan qahhari o ghaffari o quddusi o jabroot ye chaar anasir hon to banta hai musalman ye raz kisi ko nahin maloom kay momin qari nazar ata hai haqeeqat main hai quraan jis say jigar e laala main thundak ho wo shabnam daryaoun k dil jis say dehel jayen wo toofan iss nazm ka ek ek lafz Quaid e Azam ki shakhsiat kay ain mutabiqhai.roub o dabdaba aisa k viceroy of India ko bhi baat kernay say pehlay so dafa sochna perta tha kay Muhammad Ali Jinnah ko kahin koi baat nagwar na guzray aur kirdaar ki paakizagi aisi kay dusham bhi gawahi detay thay aur ab tak daitay hain kay unhain kharida nahi ja sakta;roohaniat ka ye aalam kay raton ko uth ker Allah k huzur girgira ker duayen mangtay dekha hai unn kay saathiyon nay unhain.. bas ye k dikhawa nahin tha mazhab ka unn k ander,apni naiki,islami riwayat ko istimal nahin kia unhon nay bal kay pooray khaloos k sath isay apnay Rab kay liye rakha..isi liye zahir aur dunyawi chizon per yakeen rakhnay walay afrad unhain aaj bhi samjh nahin pata aur unn ko secular aur la deen honay ka tana detay hain..kabhi ye bhi nahin sochtay k ek la deen shakhs Islam k naam per itni bari saltanat kese qayem ker sakta hai? Quaid nay apnay wasaal say pehlay ye baat farmayi thi kay ager Pakistan ki takhleeq main faizan ne nabvi shamil na hota to Pakistan kabhi wujood main na ata..ye hai iss mard e momin ka Imaan! Dunya say jatay waqt unhon nay Pakistan aur iss kay mustaqbil ko kisi kay sapurd na kiya magaer siwaye Allah kay. ye hi waja hai kay Pakistan itnay toofanon say guzarnay kay baad bhi aaj qayem o dayem hai aur Insha Allah hamesha rahay ga. main apnay Quaid ka shukriya adakerta hoon kay unhon nay itnay khubsurat watan ka humain tohfadiya.humarai anay wali naslain rehti dunya tak iss main rahain gi.Allah humain taufeeq day kay hum Quaid e Azam kay usoolon per chalain aur Pakistan ko mazboot say mazboot ter banayen. Allah say dua hai kay Allah roz e hashr humain Rasool Allah(saw), Quaid e Azam aur iss mulk kay liye apni jaan o maal say qurbaniyan denay walon kay samnay sur khru keray aur humain unn hi ki saff main khara keray.Ameen
no likes.
|