Subject : Aankhain Bheeg Jaati Hai Samundar Main Utarta Hun Tou Ankhain Bheeg Jati Hain Teri Ankhaon Ko Perhta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain...Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gai Jab Se Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Teri Yadon Ki Khushbu Khirkiyon Main Raks Karti Hai Tere Gham Main Sulagta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Main Hans Key Jhel Leta Hoon Judia Ki Sabhi Rasmain Gallay Jab Uss Key Lagta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Na-Janay Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassaas Main Kab Se Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Woh Sub Guzray Huay Lamhaat Mujhko Yaad Aatay Hain Tumharay Khatt Jo Perhta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Main Sara Din Bohat Masroof Rehta Hoon Maggar Joonhii Qadam Chokhhat Per Rakhta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Her Ik Muflis Key Maathay Per Allam Ki Daastanain Hain Koi Chehra Bhi Perhta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Baray Logon Key Oonchay Bud-numa Or Sard Mehlon Ko Ghareeb Ankhon Se Takta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Tere Koochay Se Ab Mera Taaaluq Wajbi Sa Hai Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Ankhain Bheeg Jati Hain... Hazaron Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Per Wassi! Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Bheeg Jati Hain...!!!
no likes.
|