Forums > Religion > SMS DARS ON MONOTHEISM
  • Page 1 of 1
  • 1
learnersofquran


Age: 34 Male
4824 days old here
Total Posts: 20
Points : 0

Location:
Shahdara, Punjab, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : SMS DARS ON MONOTHEISM
*DARS E REHMAN*
"wo log beshak kafir hain jo ye kehte hain k Maryam A.S k baite (Eisa A.S) masih Khuda hain. hala'k Masih (yahood se) ye kaha krte they k ae bani Israel Allah hi ki ibadat karo jo mera b Rab hai or tmhara b."
AL QURAN
Chapter 5
AL MAYDA
Verse 72
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"kaho k kya mai ALLAH ki bjay ksi or ko madad-gaar bna lun k (wohi ALLAH) asmaano or zameen ka paida krne waala hai or wohi sbko khana deta hai or khud ksi se khana nahi leta."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 14
~ALLAH ne barri pyari Toheed samjhai hai is ayat me. k dene wala wo hota hai jo leta nahi hai. na koi Nabi Data ho skta hai na koi wali Rizq pr akhyar rakhta hai. ye sb to khud ALLAH se lete hain~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or agr ALLAH tm ko koi sakhti pohchay to us k siwa usko koi door krne waala nahi or agr nemat ata kare to (koi usko rokne waala nahi) wo hr cheez pr qaadir hai."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 17
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or jis (qyamat k) din hm sb logo ko jama karey ge phir mushriko se pooche ge k (aaj) wo tmhaare shareek kaha'n hain jinka tmhe dawa tha?"
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 22
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(ae Mohammad Sallallaho Alyhe Wasallam!) keh dijye k mai tmse ye nai kehta k mere paas ALLAH k khazane hain or na mai ghaib janta hun or na tmse ye kehta hun k mai farishta hun. mai to sirf us hukm pe chalta hun jo mujhe (ALLAH ki taraf se) aata hai."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 50
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or jo log khof rakhte hain k apne Rab k saamne paish kiye jaay ge (or ye b jaante hain k roz e qyamat) us k siwa na to unka koi dost hoga or na safarish krne waala, unko is (Quran) k zarye nasihat karo ta'k parhaizgar baney."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 51
~tabligh k liye sbse achi kitab Quran hai. na to ksi peer sahab ki malfoozaat or na hi ksi aalim ki kitab Islam ki bunyad hai~

*DARS E REHMAN*
"or usi (ALLAH) k paas ghaib ki kunjia'n hain jinko us k siwa koi nahi jaanta."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 59
~ilm e ghaib rakhne ki khoobi ALLAH ne ksi insaan ki zaat me nahi di. Anbia ko jb kabhi ghaib btaya gya to wahi k zarye btaya gya. Anbia ko khud pta nahi lgta tha. jis moqa pr ALLAH ne chaha wahi k zarye bta dia or jaha na chaha wuha na btaya~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:"(arab) shayri me sbse behtareen misra (Labaid shayr) ka ye misra hai, 'khabar-daar ALLAH ki zaat k ilawa hr cheez faani hai."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Shayri
Chapter 80
3Hadis 5771
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"ALLAH ki qasam! (Hoz e Kausar pr) mujhse zra door hi kch logo ko mujh tk aane se rok dia jay ga. mai kahu ga ae ALLAH! ye to mere maanne waale, mere Ummati hain. ALLAH frmay ga k aap nahi jaante k inho ne aap k bad kya amal kia. ye apni aerrhio k bl (Islam) se phir gay they. (yeni inho ne deen me apni marzi k kaam ijaad kr liye or Biddatey nikaal li thein. phir aap b kahe ge k jinho ne mere bad deeni ahkaam me tabdili ki unhe door rakho)."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 814
Hadis 5852
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~deen wohi hai jo Nabi s.a.w.w se sabit hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(ae Mohammad Sallallaho Alyhe Wasallam!) keh dijye k mujhe mere Rab ne seedha rasta (Deen e Haq) dikha dia hai (yeni) Ibrahim A.S ka mazhab (Islam) jo aik ALLAH hi ki taraf k they or mushriko me se na they."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 161
~ISLAM ka aaghaaz Adam A.S se hi ho chuka tha~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(ae logo!) jo kitaab tm pr tmhare Rab ki taraf se naazil hoi hai uski perwi karo or is k siwa or rafiqo ki perwi na karo."
AL QURAN
Chapter 7
AL A'RAAF
Verse 3
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"hr namaz k waqt seedha (Qible ki taraf) rukh kia karo or khaas usi (ALLAH) ki ibadat karo or usi ko pukaro."
AL QURAN
Chapter 7
AL A'RAAF
Verse 29
~Musalman ALLAH ko poojte hain KABA ko nahi poojte. KABA hmara Qibla hai, Simt Numa hai ta'k sb musalmano ka markaz aik ho~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or ALLAH k sb naam ache hi ache hain to usko us k naamo se pukara karo."
AL QURAN
Chapter 7
AL A'RAAF
Verse 180
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(ae Mohammad Sallallaho Alyhe Wasallam!) keh dijye k mai apne fayde or nuqsaan ka kuch b akhtyar nahi rakhta mgr jo ALLAH ki marzi ho."
AL QURAN
Chapter 7
AL A'RAAF
Verse 188
~insaano ki bnai gai Parliment, insaano ki marzi k qanoono ki koi hesiat nai. ALLAH ki zameen pr ALLAH ka qanoon chale ga to khush'haali aye gi. hme apne fayde k faisle krne ka koi akhtyar nai. hmare KHAALIQ ko zyada behtar pta hai k hmare liye kya behtar hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or jinko tm ALLAH k siwa pukaarte ho wo na tmhari madad ki taaqat rakhte hain or na khud apni hi madad kr skte hain."
AL QURAN
Chapter 7
AL'ARAAF
Verse 197
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"mushriko ko zeba nahi k ALLAH ki masjido ko abaad karey jb k wo apne aap pr kufar ki gawahi de rahe ho'n. in logo k sb amaal bekaar hain or ye hmesha dozakh me rahe ge."
AL QURAN
Chapter 9
AL TOBA
Verse 17
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
*jo shakhs apne waalid pr la'nat kare us pr ALLAH ki la'nat ho.
*jo shakhs ghair ALLAH k liye janwar zabah kare us pr ALLAH ki la'nat ho.
*jo shakhs ksi biddati ko panah de us pr ALLAH ki la'nat ho.
*jo shakhs (zameen ki hd bandi k) nishanaat tabdeel kare us pr ALLAH ki la'nat ho.
MUSLIM
Volume 2
Kitabul Azahi
Chapter 695
Hadis 5009
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(ae Mohammad Sallallaho Alyhe Wasallam!) ALLAH ko chorr kr ksi aisi cheez ko na pukarna jo na tmhara kuch bhala kr sake or na kuch bigaarr sake. agr aisa karo ge to zaalimo me ho jaao ge."
AL QURAN
Chapter 10
AL YOUNUS
Verse 106
~tmam Anbia A.S ka Mission Dawat e Toheed tha k Supreme Power ALLAH k siwa kisi k aage nahi jhukna~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or agr Allah tmhe koi takleef de to us k siwa uska koi door krne waala nahi or agr tmse bhalai krna chaahe to us k fazal ko rokne waala koi nahi."
AL QURAN
Chapter 10
AL YOUNUS
Verse 107
~Doctor takleef ki dawa zaroor deta hai mgr dunia ka koi Doctor dawa dete wqt ye Challange nahi de skta k uski dawa se mareez lazmi theek hoga. yehi hai Toheed k koi us Rab jaisi Authorities rakhne waala nahi~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"zameen pr chalne phirne waale jtne b jaandaar hain unka rizq ALLAH k zime hai."
AL QURAN
Chapter 11
AL HOOD
Verse 6
~ALLAH ko hamari kitni fikr hai k usne pehle hi apni zime daari le li hai or hme ALLAH ki kitni fikr hai? hmne apni zimadari (ALLAH ki zammen pr ALLAH ka nizaam) kitni poori ki?
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(Hazrat Nooh A.S ne apni Qom se kaha k) mai na tmse ye kehta hun k mere paas Khuda k khazane hain or na ye k mai (khud se) ghaib jaanta hun or na ye kehta hun k mai Farishta hun."
AL QURAN
Chapter 11
AL HOOD
Verse 31
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or (ae Mohammad Sallallaho Alyhe Wasallam!) hmne aap se pehle b peghambar bheje they or unko bwia'n or olaad b di thi. or ksi peghambar k akhteyar me ye nahi tha k wo ALLAH k hukm k baghair koi nishaani laay."
AL QURAN
Chapter 13
AR RA'AD
Verse 38
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"(Nooh, Aad or Samood ki Qom) k Peghambro ne unse kaha k ha'n hm tmhare hi jaise aadmi hain lekin Khuda apne bando me se jis pr chaahta hai (Nabuwat ka) ahsaan krta hai. or hmare akhtiyar me nahi hai k hm ALLAH k hukm k baghair tm logo ko (tmhari farmaish k mutabiq) mo'ajza dikhaay or ALLAH pr hi momino ko bharosa rakhna chahye."
AL QURAN
Chapter 14
AL IBRAHIM
Verse 11
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or hm hi Zindagi bakhshte hain or hm hi Moat dete hain or hm hi sb k Waaris (Maalik) hain."
AL QURAN
Chapter 15
AL HIJAR
Verse 23
~ye 50, 60yrs ki zindagi kuch nahi hai siway imtehan k. hmara bachpn khail me, No jowani Enjoyment me, Jawani paisa kamane me, Burrhapa Musalle pe guzarta hai. poori zindagi me 1% b Islami Nizam k liye koshish nahi hoti. haqiqat me ye apne sath ziyadti hai~

*DARS E REHMAN*
"or apne Rab ki ibadat kiye jaao yaha'n tk k tmhari moat ka waqt aa jaay."
AL QURAN
Chapter 15
AL HIJAR
Verse 99
~hmare Zehan me ibadat se murad namaz, roza hai. ye Concept Hinduism me to fit hota hai mgr Islam se iska koi talluq nahi. Islam me ibadat se murad Total Obedience hai yeni hr kaam me us Rab ki ata'at~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"jin jin ko ye log ALLAH k siwa pukaarte hain, wo ksi cheez ko paida nahi kr skte bl'k khud paida kiye gay hain. murda hain - zinda nahi, unhe to ye b nahi pta k kb uthay jaay ge."
AL QURAN
Chapter 16
AN NAHAL
Verse 20,21
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or hmne hr Ummat me Peghambr bheja k sirf ALLAH hi ki ibadat karo or Taghoot (ki ibadat) se bacho."
AL QURAN
Chapter 16
AN NAHAL
Verse 36
~mukhtalif ayaat or ahadis k mutabiq lafz Taghoot ka ma'ni bohat wasi hai. hr wo cheez jiski ata'at krne k liye ALLAH k hukm ki na-farmani ho rahi ho wo Taghoot hai. wo insaan ki apni zaat b ho skti hai, paisa b ho skta hai, Party Leader b ho skta hai. or Quran Taghoot ki ata'at ko hi Shirk kehta hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or hm jb ksi cheez ka iraada krte hain to hmari baat yehi hoti hai k usko keh dete hain k ho ja to wo ho jaati hai."
AL QURAN
Chapter 16
AN NAHAL
Verse 40
*ISLAH MISSION*

---------
www.smsdars.blogspot.com

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:26:06 AM


MirzaIT


Age: 32 Male
4695 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
So Nice Information.

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:26:07 PM

  • Page 1 of 1
  • 1