Forums > Masti Box! > Dr. Allama Muhammad Iqbal (Rahmatullah) Poetry
brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Subject : Dr. Allama Muhammad Iqbal (Rahmatullah) Poetry
Dr. Allama Muhammad Iqbal (Rahmatullah) Poetry



no likes.

Posted on December, 19 2011 09:04:11 PM


brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Na ho tughyan-e-Mushtaqi to me rehta nahi baqi,
K meri zindagi kia hai? yahi tughyan-e-Mushtaqi!

Mujhe fitrae nawa par pe ba pe majboor karti hai
abhi mehfil hai shayad koi dard ashna Baqi,

wo aatish aaj bhi tera nasheman phoonk sakti hai
talab sadiq na ho teri tou phir kia shikwa-e-saqi!

na kar afrang ka andaza is ki tabnaki se
k bijli k chiraghon se hai ic johar ki barraqi,

dilon me walwale aafaaq giri k nahi uthte
nigahon me agar paida na ho afaqi.

no likes.

Posted on December, 19 2011 09:31:36 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Quraan ghar me hai magar ham nahi parhte

heart touching iqbal poetry.......







no likes.

Posted on December, 20 2011 10:01:07 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Famaan-e-Khuda (Farishton se)

Utho meri dunya k ghareebon ko jaga do.......







no likes.

Posted on December, 20 2011 10:04:18 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai

is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai

ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai

no likes.

Posted on December, 21 2011 10:54:08 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein

mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein

mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein

jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein

tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein

muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein

bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein

no likes.

Posted on December, 21 2011 10:58:30 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Zindagi insan ki ik sam k siwa kuch bhi nahi
dam hawa ki mauj hai ram k siwa kuch bhi nahi








no likes.

Posted on December, 22 2011 10:30:47 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
ye shalamar me ik barg e sard kehta hai
giya wo moasam e gul jiska razdaar hoon main...







no likes.

Posted on December, 22 2011 10:35:56 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4787 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
muztarib rakhta hai mera dil e be taab mujhe
aain hasti hai tarap soorat seemaab mujhe....







no likes.

Posted on December, 22 2011 10:38:25 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Aata hai yaad mujhko guzaraa huaa zamaanaa

vo baaG kii bahaare.n vo sab ka chah-chahaanaa

aazaadiyaa.N kahaa.N vo ab apane gho.Nsale kii

apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa

lagatii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam

shabanam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskuraanaa

vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat

aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa


no likes.

Posted on December, 23 2011 07:27:02 AM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5036 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Ya Rabb Dil-e-Muslim Ko, Wo Zinda Tamanna De;
Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De!

Phir Wadi-e-Faaraan Ke Har Zarre Ko Chamka De
Phir Shouk-e-Tamaasha De; Phir Zoq-e-Taqaaza De

Mehroom-e-Tamaasha Ko, Phir Deeda-e-Beena De
Dekha Hai Jo Kuch Maine Auron Ko Bhi Dikhla De!

Bhatke Huwe Aahoo Ko, Phir Soo-e-Haram Le Chal;
Uss Shehar Ke Khoogar Ko Phir Us'at-e-Sehra De!!

Paida Dil-e-Viraan Mein, Phir Shorish-e-Mehshar Kar;
Iss Mehmil-e-Khaali Ko, Phir Shahid-e-Laila De!!

Is Daur Ki Zulmat Mein, Har Qalb-e-Parishaan Ko;
Wo Daag-e-Mohabbat De, Jo Chaand Ko Sharma De!!

Raf'ath mein maqaasid ko, Hamdosh-e-Surayya Kar;
Khuddari-e-Saahil De, Aazaadi-e- Dariya De!!

Be Lous-e-Mohabbath Ho, Be Baak-e-Sadaaqat Ho;
Seenon Mein Ujaala Kar, Dil Soorat-e-Meena De!!

Ehsaas Inaayat Kar, Aasar-e-Museebat Ka;
Imroz Ki Shorish Mein, Andesha-e-Farda De!!

Main Bulbul-e-Naalan Hoon, Ek Ujde Glistaan Ka
Taaseer Ka Saa'il Hoon, Mohtaaj Ko Daata De!!

no likes.

Posted on December, 24 2011 01:35:27 AM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5036 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline


voice of PAKISTAN....
SOLUTE YOU SIR

no likes.

Posted on December, 24 2011 01:39:13 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par

Tu Shaheen Hai Basera Kar Pahaaron ki Chataanon Main

no likes.

Posted on December, 24 2011 07:30:06 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
khudi ki parwarish_o tabiyat pe hay moqoof
k musht_e khaak main paida ho aatish_e huma soz!
yehi hay sirr_e kaleemi har ik zamaney main!
hawa_e dasht _o shoaib_o shabani_e shab_o roz


no likes.

Posted on December, 24 2011 07:31:41 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraaN
auron kii nigaahon mein wo mausam ho KhizaaN kaa

hai sil-silaa ehawaal kaa har lahajaa dagaraguuN
ae saalek-rah fikr na kar suudo-zayaaN kaa

shaayad ke zamiN hai wo kisii aur jahaaN kii
tuu jisako samajhataa hai falak apane jahaaN kaa

no likes.

Posted on December, 24 2011 07:33:44 AM

Tamoorraja


Age: 32 Male
4726 days old here
Total Posts: 252
Points : 128

Location:
Muzaffargarh, Pakistan

Status : Offline




no likes.

Posted on December, 24 2011 06:44:38 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar

garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar

koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar

tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar


no likes.

Posted on December, 24 2011 10:28:49 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se

koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se

wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se

ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se

bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se


no likes.

Posted on December, 24 2011 10:31:00 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5036 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline


no likes.

Posted on December, 25 2011 03:18:43 PM

atif03


Age: 47 Male
5007 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline





no likes.

Posted on December, 27 2011 05:48:44 PM

Afzal


Age: 32 Male
5024 days old here
Total Posts: 2745
Points : 9

Location:
Mirpur khas, Pakistan

Status : Offline
Nice poetry keep it up

no likes.

Posted on January, 26 2012 08:32:03 AM