Forums > General Talks > GOLDEN WORDS....
ZaiN007


Age: 29 Male
4813 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Subject : GOLDEN WORDS....
Awesome Golden Sayings


Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein
aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan
aur raaz dafna sako
Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye
ussey mana lena chahiyeh kyun ke
tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein
chun liye jatey hein
Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin
balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur
Raat ki tareeqi mein usse talash karo
jo tumhein rizq deta hai
Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,
Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey
aur tum usse zaberdasti apna banana chaho,
ye tumhare nafs ki zillat hai
Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say
wabasta umeedein dukh deti hein
Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao
warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke
koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to
Uss waqt 5 jumley kehta hai

1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona
tum par Allah ki inayat hai
Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein
musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai
kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai..
seep ussey moti bana deta hai,
saanp ussey zehr bana deta hai..
jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
Hazrat Ali (AS)---

One thing that is better not expressed
even if it is true, is a man's praise for himself
Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein

1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
Hazrat Ali (AS)---

Koshish karo ke tum dunya mein raho
dunya tum mein na rahey kyun ke
kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai
lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao
jis ne tumhein bolna sikhaya
Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo

1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki

Hazrat Ali (AS)---


3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein

1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna
Hazrat Ali (AS) ---

6 cheezein amal ko zaya karti hein

1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm
Hazrat ALi (AS)---

A friend cannot be considered a friend
unless he is tested on three occasions

1. At the time of need
2. Behind your back
3. After your death
Hazrat ALi (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga
Hazrat ALi (AS)---

_________________

no likes.

Posted on September, 01 2011 07:46:40 PM


atif03


Age: 46 Male
4795 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
very nice sharing sab hee kaam ki baaty hay in par amal bhee karna chahiy


no likes.

Posted on September, 01 2011 07:50:01 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
"Bilawaja maat hanso, baghar maqsad kay kisi taraf qadam na badhao aur na woh baat pocho jiss say tumhara koi taalloq nahi"
Hazrat Loqman(R.A)

no likes.

Posted on September, 01 2011 09:37:51 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
JIs darakht k phal meethy hoon us ko zyada pathar mary jaty hai
Hazrat Ali ( R.A)

no likes.

Posted on September, 01 2011 09:39:35 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
ALLAH Ki 4 Rahematian Asi Hai
Jo Insan Se Bardaasht Nai Hoti .

1 - Beti
2 - Mehman
3 - Barish
4 - Bemari


no likes.

Posted on September, 01 2011 10:11:20 PM

cute4cute


Age: 37 Male
4816 days old here
Total Posts: 3565
Points : 242

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
logon ko knowldge tu buhat hota hai kesi dusray ko batany k liayy but khud amal kam he loug hotay hain ju kertay hain ginti k chund loug he..............its True

no likes.

Posted on September, 02 2011 12:27:05 AM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4818 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
"Jub PARWARDIGAAR kisi Insaan ko zaleel karna chahta hai toh usay ILM O DAANISH say mehroom kar deta hai"

no likes.

Posted on September, 02 2011 09:09:19 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Golden Words

Ksi ko apna acha dost banana ALLAH ka tohfa hai

Ksi ko khush kerna naiki hai.


no likes.

Posted on September, 19 2011 03:31:15 PM

doctor


Age: 29 Male
4624 days old here
Total Posts: 52
Points : 28

Location:
larkana, Pakistan

Status : Offline
veryyyyyyyyyyyy nnnniiiiiiiiiceeeeeeeeeeeeee colllection buddy keep going man


no likes.

Posted on September, 19 2011 03:37:18 PM

Omer87


Age: 36 Male
4795 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Chotu
meri aankhon main dard hony lag jata hai itni lambi post dekhty hee
perhna to door kee baat hai :O

no likes.

Posted on September, 19 2011 07:09:37 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
“Insan k liye sub say bura waqt woh hai jab
Allah usay usi k nafs k hawalay kr day ya us k hal par chor daay”.


no likes.

Posted on September, 20 2011 02:02:28 PM

rana4amir


Age: 38 Male
4815 days old here
Total Posts: 1252
Points : 124

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein to dil anjaam say andha ho jata hai

no likes.

Posted on September, 20 2011 10:29:59 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline




no likes.

Posted on September, 21 2011 11:29:12 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4801 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline

"Hukamran Jab Apni Jaan Ki Hifazat Mein Magan Ho Jate Hein To Wo Mulk Aur Qaum Ki Aabru Ki Hifazat Ke Qabil Nahi Rehtey."

(Sultan Salah-ud-Din Ayyubi)


no likes.

Posted on September, 22 2011 03:47:41 PM

doctor


Age: 29 Male
4624 days old here
Total Posts: 52
Points : 28

Location:
larkana, Pakistan

Status : Offline
mera golden words ye he MAA BAAP KO HUMESHA KHUSH RAKHO UN KO KABHI DUKH NA DYA KARO

no likes.

Posted on September, 22 2011 09:55:23 PM

saim14399


Age: 31 Male
4455 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
hmm
Nice coment doctor sahib.
Ma bap ko hamesha khush rakho
Mari dua hy sb k lia.
K hm sb k prents hmesha khush rahain
Or un ki lambi omer hu.
Ameen

no likes.

Posted on March, 25 2012 01:59:16 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
4824 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
khairyat zain itnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnaaaaaaaaaaa
bara subject o_O


no likes.

Posted on March, 25 2012 03:12:55 PM

malibhutta73


Age: 50 Male
3910 days old here
Total Posts: 4777
Points : 179

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
i always said , i always like golden words.

no likes.

Posted on December, 12 2013 01:19:05 PM

abdulhannan05


Age: 31 Male
4791 days old here
Total Posts: 13123
Points : 261

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
words tu bohtu hi achay hian yaar hmmmm

no likes.

Posted on December, 27 2013 06:43:20 PM

HAQ


Age: 25 Male
4137 days old here
Total Posts: 1277
Points : 36

Location:
Kahuta, Pakistan

Status : Offline
ALLAH Ki 4 Rahematian Asi Hai
Jo Insan Se Bardaasht Nai Hoti .

1 - Beti
2 - Mehman
3 - Barish
4 - Bemari



no likes.

Posted on January, 09 2014 11:38:06 PM

2waqar


Age: 34 Male
3779 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mashallah!! So beautiful!!

no likes.

Posted on January, 10 2014 02:55:39 AM