Forums > Religion > Kuch Islami Sawal Jawab
  • Page 1 of 1
  • 1
Hussainkhalid


Age: 27 Male
4082 days old here
Total Posts: 13010
Points : 4675

Location:
Dadu 76200, Pakistan

Status : Offline
Subject : Kuch Islami Sawal Jawab
Sawaal:
Kuch log kehte hai ki Quran parhte parhte baate
nahi karni chahiye aur ye bhi kehte hai ki quran
ko khula nahi rakhna chahiye warna shaitan use
parhta hai ! uski kya haqiqat hai?
Al Jawab:
beshak quran parhte parhte baatein karna
mamnu’a hai, woh isliye ki jis waqt hum quran
parhte hai tab woh ALLAH ka kalam hota hai,
mgar use parhate parhate hum apne kalam ko
saath me mila denge tou pura meaning badal
jayega. Maslan sura e nisa ki aap 14 aayat parh
rahe hai: aur ALLAH aur uske RASOOL ki….. is
ke baad achanak hum apna kalam lagadenge tou
ye bahot bada gunah ho jayega aur pura
meaning change ho jayega. Is liye koi khaas
zaroori baat hai ya kisi ne kuch pucha tou aayat
ko pehle puri kare phir use se kalaam kare uske
baad phir se Bishmillah parh ke quran parhe.
Aur quran khula rakhe tou shaitan parhta hai tou
ye bilkul galat zehan hai, jab Bishmillah nazil
huwi tab shaitan itna roya jitna pehle kabhi na
roya tha. Tou bhala ek aayat se shaitan itna
roya tou kya woh quran parhne baithega, agar
usne parh liya tou hamare liye tou khushkhbari
hogi (magar woh kabhi nahi parhta), ulta ALLAH
ke kalam se tou bhagta hai. magar haan quran
ko khula rakh kar apne kaam me lag jana quran
ki be-adabi hai, is liye agar koi dusra kaam hai
tou quran ko band karle phir koi kaam kare.

no likes.

Posted on January, 28 2014 10:46:46 PM


  • Page 1 of 1
  • 1