vo dil navaaz hai nazar shanaas nahii.n meraa ilaaj mere chaaraagar ke paas nahii.n ta.Dap rahe hai.n zabaa.N par ka_ii savaal magar mere liye ko_ii shayaan-e-iltamaas nahii.n tere ujaalo.n me.n bhii dil kaa.Np kaa.Np uThataa hai mere mizaaj ko aasuudagii bhii raas nahii.N kabhii kabhii jo tere qurb me.n guzare the ab un dino.n kaa tasavvur bhii mere paas nahii.n guzar rahe hai.n ajab marhalo.n se diidaa-o-dil sahar kii aas to hai zindagii kii aas nahii.n mujhe ye Dar hai ki terii aarazuu na miT jaaye bahut dino.n se tabiiyat merii udaas nahii.n
no likes.
|