mazharkhan
Age: 28
4001 days old here
Total Posts: 4026
Points : 1924
Location:
Mehar 76330, Pakistan
Status : Offline |
um rooth jao muj se, aesa kabi na karna. Main ek nazar ko tarsoon, aesa kabi na karna. Main pooch pooch haroon, so so sawal kar k. Tum koi jawab na do, aesa kabi na karna. Muj se hi mil k hansna, muj se mil k rona. Muj se bichhar k jee lo, aesa kabi na karna. Tum chand ban k rehna, main dekhta rahon ga. Kisi roz tum na niklo, aesa kabi na karna. Tum chaley jao jab bhi, to dekhon tumhara rasta. Tum lot k na aao Aesa kabi na karna…!
no likes.
|