Forums > Poetry / Ghazal Corner > = Ghazal =
  • Page 1 of 1
  • 1
Hussainkhalid


Age: 27 Male
4081 days old here
Total Posts: 13010
Points : 4675

Location:
Dadu 76200, Pakistan

Status : Offline
Subject : = Ghazal =
"Muhabaton ne kaisa kamal kr dala."

"Humain to udasyon ki misal kr dala."

"Kbi milain to pouchain gy ik doje se"

"K kis ko kis k Gham ne nidhal kr dala"

"Tu bta us se kia kahon ga main"

"Meri udasi pe jo ksi ne sawal kr dala"

"Suna tha zindagi ka safar bohat mushkil ha"

"Or hum ne kr k muhabat or b muhal kr dala.

Phly to bohat
yad kia krte the tum,

Ab aisa bholaya tum ne k Kamal kr dala.
...!!*DIL SE*!!...

no likes.

Posted on March, 14 2013 12:18:02 AM


Shezi143


Age: 40 Male
4489 days old here
Total Posts: 1220
Points : 585

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline




no likes.

Posted on March, 14 2013 10:12:15 AM

Nagra123


Age: 34 Male
4633 days old here
Total Posts: 1078
Points : 234

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Bahar Aai To Jaise Yak Baar
-

Bahar aai to jaise yak baar
Llaut aaye hain phir adam se
Wo khwaab saarey, shabaab saare
Jo tere honton pe mar mite the
Jo mit ke har baar phir jiye the
Nnikhar gaye hain gulaab saare
Jo tere yaadon se mushk-bu hain
Jo tere ushshaaq kaa lahu hain

Ubal paRe hain azaab saare
Malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhe
Khumaar-e-aaghosh-e-mahwashaan bhe
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
Ttere hamaare
Ssawal saare, Jawaab saare
Bbahaar aai to khul gaye hain
Naye sire se hisaab saare


no likes.

Posted on March, 17 2013 03:52:06 PM

Hussainkhalid


Age: 27 Male
4081 days old here
Total Posts: 13010
Points : 4675

Location:
Dadu 76200, Pakistan

Status : Offline
very nice shazi and Nagra .

no likes.

Posted on March, 17 2013 07:37:47 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4410 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia

“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

no likes.

Posted on August, 30 2013 12:57:41 PM

hearthackervsgirls


Age: 39 Male
3961 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
wah khalid bhai apne to kamal ki poetry post ki hai, ap kahan se copy paste kerte hain.

no likes.

Posted on September, 02 2013 09:39:03 AM

aneel


Age: 26 Male
4309 days old here
Total Posts: 1690
Points : 65

Location:
shikarpur, Pakistan

Status : Offline
mejhe aek he ghazal achi lagi jo maa ka liye thi..

no likes.

Posted on September, 03 2013 01:06:30 AM

hearthackervsgirls


Age: 39 Male
3961 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
nice sharing, buhat achi poetry hai sab ki.

no likes.

Posted on October, 30 2013 10:59:50 AM

usman95


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 2472
Points : 57

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Best hai wah g wah kia kehne hain g han nice g wah


no likes.

Posted on November, 03 2013 08:47:43 AM

usman95


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 2472
Points : 57

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Bahar Aai To Jaise Yak Baar
-

Bahar aai to jaise yak baar
Llaut aaye hain phir adam se
Wo khwaab saarey, shabaab saare
Jo tere honton pe mar mite the
Jo mit ke har baar phir jiye the
Nnikhar gaye hain gulaab saare
Jo tere yaadon se mushk-bu hain
Jo tere ushshaaq kaa lahu hain

Ubal paRe hain azaab saare
Malaal-e-ahwaal-e-dostaan bhe
Khumaar-e-aaghosh-e-mahwashaan bhe
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
Ttere hamaare
Ssawal saare, Jawaab saare
Bbahaar aai to khul gaye hain
Naye sire se hisaab saare



no likes.

Posted on November, 03 2013 08:48:54 AM

Saim44


Age: 33 Male
4044 days old here
Total Posts: 2775
Points : 11

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
usman bhai very nice shareing ap ne or hussain bhai ne buht achi shareing ki hai

no likes.

Posted on November, 03 2013 09:17:36 AM

usman95


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 2472
Points : 57

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Badan Thakan Se Choor HyPr Neend Hum Se Door Hy
Tera Khayal Sath Hy Bari Udaas Raat Hai

Hawa-e-Gham Ka Zor Hy Samandron Ka Shor Hy
Judaiyon Ki Baat Hy Bari Udas Raat Hy

Hr Nazar Sharab Hy Tere Milne Ka Khuwab Hy
Ye Kon Sa Azab Hy Bari Udas Raat Hy

Gaye Dino Ki Yaad HyThaka Thaka Sa Chand Hy
Dukhi Dukhi Se Baat hy Bari Udas Raat hy

From Silent Life

no likes.

Posted on November, 05 2013 06:14:25 PM

usman95


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 2472
Points : 57

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Gham

Gham-naak Samandar Mai Kinare Na Bichartey

Tum Bichrey The Yaadon Ke Sahare Na Bichartey

Mai Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta

Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti

Jeewan Mai Agar Dard Ke Maare Na Bichartey

Har Rang Mai Hai Illat-o-Maalool Zaroori

Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati

Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

(Farhat Abbas Shah)

no likes.

Posted on November, 06 2013 12:16:20 AM

  • Page 1 of 1
  • 1