Forums > Poetry / Ghazal Corner > Peerzada Qasim
  • Page 1 of 1
  • 1
SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : Peerzada Qasim
bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye
gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye
gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun
isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye
lakh khushguman duniya bahimi talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jaye
ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko
ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye
khak karne walon ki kya ajib khwahish thi
khak hone walon ko khak hi na samjha jaye.

no likes.

Posted on November, 09 2012 03:51:50 PM


SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Raat dhalne lagi hai badan thakan se choor hai,
Aye khayal-e-yaar taras kha sone de mujhe.

no likes.

Posted on November, 09 2012 05:01:28 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4237 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Be-Zubanon Ko Jub Wo Zaban Deta Hai
Parhne Ko Phir Wo Quraan Deta Hai
Bakhshne Pe Aye Jub Ummat K Gunahon Ko
Tohfe Mai Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai...

no likes.

Posted on November, 10 2012 09:59:47 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4235 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Please remind me 2 remind U about reminding me to send U this reminder that reminds me of reminding U that U never have to remind me 2 remember U, I ALWAYS DO!

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:52:13 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4204 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Tapak padhte hain mere aansu jb khayal unka aata hai Yeh woh barsaat hai jiska koi mausam nahi hota

no likes.

Posted on November, 11 2012 09:29:35 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Tafseelain Choro! Bus Itna Suno,
Tum Bicharr Gaye, Hum Bikhar Gaye/.

no likes.

Posted on November, 11 2012 07:19:23 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
tafseelan byan kar,
bat smjh gya hon ab

no likes.

Posted on November, 11 2012 07:21:30 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4237 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Tuje sy bichard jany ke baad,es lamhey tak
kong si ek,mery andar karlati rahi..

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:49:13 PM

riabest


Age: 32 Female
4237 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Najane zindagi badale gi apna rasta kab tak,
Azal se hai nizam e khair o shar k sath wabaste..

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:05:28 AM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Dil ki chokhat pe jo ek deep jalaa rakkha hai.
tere laut aane ka imkaan sajaa rakkha hai.

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:32:24 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4235 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega

Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai
Jis Taraf Bhi Chal Parainge Raasta Ho Jaayega

Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega

Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega

Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega

Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:54:31 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4204 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.

Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:59:10 PM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Bohathi mo'tabar hain jin ko muhabat raas Aa jaye
kisi ko raah badalnay mein zara si dair lagti hai ...

(¯`•.•´¯) (¯`•.•´¯)
*`•.¸(¯`•.•´¯)¸ .•´*
? º ? `•.¸.•´

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:46:20 AM

riabest


Age: 32 Female
4237 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
gham chupaana bhi to asaan nahin,
Ke sunaana bhi to asaan nahin,
Aatey aatey hi kabhi ayen ge,
Un ka aana bhi to asaan nahin,
Ab mere haal pe rotey kyon ho,
Jee dukhana bhi to asaan nahin,
Kya karain gar na karain yaad unko,
Bhool jana bhi to asaan nahin,
Zindagi Saif museebat hi sahi,
Jee se jana bhi to asaan nahin..

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:50:16 AM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
hosh u.Dane lage raqiibo.n ke
"Daag" ko aur bevafaa kahiye

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:56:16 AM

riabest


Age: 32 Female
4237 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
zindagaani Se Pyaar Bhi Tou Nahi
Mout Ka Intezaar Bhi Tou Nahi
Kon Kehta Hai Kat Na Paaye Gi ?
Raat Hai Rahguzaar Bhi Tou Nahi
Os Gali Mein Chalay Tou Jaayein Magar
Zindagi Baar Baar Bhi Tou Nahi
Ham Ne Dekha Kahan Hai Suud-o-Ziyaa.n
Pyaar Hai Kaarobaar Bhi Tou Nahi
Pyaar Doulat Hai, Ye Sahi Hai Magar
Ba-Khuda Ham Ko Pyaar Bhi Tou Nahi
Khud Kalaami Se Thak Chukay Hain Bohat
Koi Ab Raazdaar Bhi Tou Nahi
Jaan Denay Ka Dar Hai Kis Ko Magar
Saamnay Koi Daar Bhi Tou Nahi
Ye Mohabbat Fazool Shay Hai “Batool”
Pehla Pehla Khumaar Bhi Tou Nahi..

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:21:01 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4237 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun
Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun
Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein
Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun
Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhee Shirkat-e-Gair
TU Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun
Justuju Ke Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun
Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhee Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun
Mein Hun Ik Tarfa Bhikaari, Koi Meri Bhee Suno
Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun
Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun
Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun
Mera Mansab Nahee Paighambar-e-Fun Bannay Ka
Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun
Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai
Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:02:34 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4410 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Wo rootha rootha sa lagta hai,
Koi tarkeeb batao pass aane ki,
Main zindgi girvi rakh sakta hoon,
Tum keemat batao usey manane ki…

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:35:50 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Naa miley zeher to apna hi lahuu peetey hain,
Jaam khaali nahin rehte sharaab’khanon mein.

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:21:41 PM

  • Page 1 of 1
  • 1