Forums > Poetry / Ghazal Corner > muzaffar warsi
  • Page 1 of 1
  • 1
SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4248 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : muzaffar warsi
ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga
log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai
shiddat-e-karb main to hansna karb hai mera
hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai
gard ankhon main sahi dag to chehre pe nahi
lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai
ghol deta hai samaat main wo mitha lahja
kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai
pahle rag-rag se meri khun nichora us ne
ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai
mujhko be-rang hi na karde kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
meri parwaz kisi ko nahi bhati to na bhaye
kya karun zehan ?Muzaffar? mera jibraili ha.

no likes.

Posted on November, 09 2012 03:50:34 PM


SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4248 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Ik Kiran Bhi Tou Nahin Gham Ki Andheri Raat Mein,
Koi Jugnu, Koi Aansu, Koi Taara Kuch To Ho.

no likes.

Posted on November, 09 2012 05:09:41 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4229 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
eXams are there,
at the paper u stare;
the answer is nowhere,
which makes u pull ur hair.
The teachers make u glare,
the grades r not fair,
but just like the past 20 yrs,
WE DONT CARE !!

no likes.

Posted on November, 10 2012 09:38:55 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4198 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
If Ever There Is A 2morow
When We Were Not 2gether
There Is Something
You Must Always Remember
Even If I Were Apart
I'll Always Be With You ...

no likes.

Posted on November, 12 2012 01:30:00 PM

Lioness


Age: 31 Female
4212 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Asool-e- muhabat mai
tum khud bewafa ho...

"MOHSIN "

Wo jo bichra to tum, Marr Q nhi gay...
.
.
WASI Replied t0 MOHSIN...
.
Marna t0 hy 0oper waly k Hukam sy..

Wasi.

Asool-e-Muhabat my ek Naam 'Intizaar' bhi Hyy....!
.
.
Sahil Replied to wasi & mohsin
.
.
Intezaar to un ka kiya jata hai jinhen wapas ana ho,
Sahil

Jo khud gharz hon un k liye mara nahin karte...

no likes.

Posted on November, 12 2012 02:31:09 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4248 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
wah ji wah . kia khny
boht aala .

no likes.

Posted on November, 13 2012 01:37:50 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4229 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
SomeOne..
MiSSES U..
NeeDS U..
Worries About U
Lonely Without U
Guess Who?
THE MONKEY IN
... THE ZOO ..

no likes.

Posted on November, 13 2012 08:50:13 AM

bawa125


Age: 33 Male
4228 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Tum Jo Hansti Ho Tou..
Pholon Ki Ada Lagti Ho..
Or Chalti Ho Tou..

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:24:45 AM

riabest


Age: 32 Female
4231 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
naye gulaab naye rang hain neyi khushbu,
Utar rahi hai meri rooh main teri khushbu,
Badan ko chootey hi mehkaa gayi hai sanson ko,
Mere qareeb se jab bhi guzar gayi khushbu,
Isi gali se guzre teri gali se hum,
Humain bhi dekhe gi khirki se jhankti khushbu,
Gulon ke chehre pe jese hon shabnami qatrey,
Bhali lagi mujhe sawan main bheegti khushbu,
Woh jis ki yaad main jaaga tamaam shab Sahil,
Ussi ke yaad ke pehlu main so gayi khusbhu.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:02:13 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4231 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
khwaabon Ka Ik Jahaan Mujhe De Gaya Koi
Mitti Ka Ik Makaan Mujhe De Gaya Koi
Wo Dil Mein Reh Gaya Hai Ke Dil Se Utar Gaya
Kitna Ajab Gumaan Mujhe De Gaya Koi
Sehra Pe Apnay Ghar Ka Pata Likh Gaya Tha Wo
Mit’ta Howa Nishaan Mujhe De Gaya Koi
Maah-o-Najoom Noch Ke, Soraj Bujha Diya
Phir Saara Aasmaan Mujhe De Gaya Koi
Kishti Mein Chhaid Osne Kia Aur Oske Baad
Kaaghaz Ka Baadbaan Mujhe De Gaya Koi
Osne Gulaab Haath Mein Le Kar Kahaa Batool
Khushbuu Ka Tarjumaan Mujhe De Gaya Koi.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:22:56 PM

Lioness


Age: 31 Female
4212 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
apnay naam ka humain libaada de do,,

hum apni aukaat chor
detay hain!!


no likes.

Posted on November, 14 2012 09:58:48 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4404 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,
Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye,
Aa dekh tujhse log jo rehte they door door,
Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye,
Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley,
Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye,
Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye,
Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log,
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye,
Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar,
Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:29:17 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4248 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Khudkushi Jab Haraam Hai Tou Phir
Kis Lye Loog “ISHQ” Kartay Hain

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:36:29 PM

  • Page 1 of 1
  • 1