Forums > Poetry / Ghazal Corner > iftekhar arif
  • Page 1 of 1
  • 1
SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : iftekhar arif
Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei
Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei
Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei
Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei
Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei
Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei.

no likes.

Posted on November, 09 2012 03:31:27 PM


sahilgee169


Age: 30 Male
4205 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Good Relations are just like "Water"
No Colour , No Shape,
No Smell, NO Taste.
But Still Very Very "Important" For Life.

no likes.

Posted on November, 12 2012 01:23:58 PM

bawa125


Age: 33 Male
4235 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Barbad karne k aur bhi raastey thay faraaz...

na jane kyun aaya tum ko mohabbat ka khaya

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:45:09 AM

riabest


Age: 32 Female
4238 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
woh jis pe umar lagi mujhe bananey mein,
Usi ka hath hai shamil mujhe mitaney mein,
Har aik morr pe us ne daghaa diya mujh ko,
Jisey main apna samjhta raha zamaney mein,
Ajeeb hai ke yeh khud hi bhujana chahti hai,
Razaa hawaa ki thi shamil diya jalaney mein
..

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:48:48 AM

aarzoo


Age: 31 Female
4238 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
hua Jo Kuch’ Bhulana Chahiye Tha,
Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha,
Ye Saara Bojh Mere Sir Pe Kiyon Hai,
Usay Bhi Gham Uthana Chahiye Tha,
Kis Qadar Guroor Tha Mujhe Us Per,
Pyar Se Beth Kar Manaana Chahiye Tha,
Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta,
Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:30:12 PM

Lioness


Age: 31 Female
4219 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
ashkon k tabassum mein, aahon k tarannum mein,,,

masoom Muhabbat ka Masoom fasaana hai !!!

no likes.

Posted on November, 14 2012 09:41:38 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4411 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai,
Tu har ik baat pe yu’n nam na kiya kar aankhain..

no likes.

Posted on November, 15 2012 02:32:58 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
kahan wo shokhiyaan pehle si, ab kuch bhi nahi baqi,
Chaley Aaye ho Tum kiya khojne be-jaan aankhon main

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:19:53 PM

  • Page 1 of 1
  • 1