Forums > Poetry / Ghazal Corner > farhat abbas shah
  • Page 1 of 1
  • 1
SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : farhat abbas shah
Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Bichartay Waqt Jo Tum Sonp Kar Gaye Thay Mujhe
Wo Intezaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
TU Khud Hee Jaanay Kaheen Door Kho Gaya Hai Magar
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Jub Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Ab Bhi Girtay Howay Paanion Ki Qaid Mein Hun
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaisay Karay ?
Ke Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai...

no likes.

Posted on November, 08 2012 02:18:27 PM


aarzoo


Age: 31 Female
4238 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Shayed unhi ka gham mere kaam aa geya,
Jin doston ne chorr diya waqt per mujhe,

no likes.

Posted on November, 08 2012 02:41:13 PM

bawa125


Age: 33 Male
4235 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Mat p0ch Hum sa hmari Bandagi ka Aalam ay IBLEES!!

Ghafil hain magar thokar lagy tou sajada khuda he ko krty han!!~

no likes.

Posted on November, 09 2012 04:20:16 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Qadam qadam pe keyi zaaviye badalta hai,
Teri tarah tera gham bhi bahana karta hai.

no likes.

Posted on November, 09 2012 04:59:08 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4236 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
EXAM PATTERN
1995:answer all questions
2000:answer any 5 questions
2010:answer either a (or) b
2015:atleast read the questions
2020 for coming e

no likes.

Posted on November, 10 2012 09:45:53 AM

aarzoo


Age: 31 Female
4238 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Allah Insaan Sey Fermata Hey
Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna
Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna
Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna
Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna
Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna
Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna
Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna
Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna
Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna
Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna
Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna
Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna
Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehna...

no likes.

Posted on November, 10 2012 10:00:47 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4236 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
7 Glances= 1 Smile
7 smiles =1 meeting
7meetings= 1 kiss
7 kisses= 1 proposal
7 Proposals=1 marriage
and that bloody marriage has 777777 problems

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:50:47 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Kehte ho k bichare koi mudat nahin guzari
Lagata hai kabhi tum ne celandar nahin daikha..

no likes.

Posted on November, 11 2012 07:41:43 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4238 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida,
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum,.

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:46:12 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4236 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:09:49 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4411 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,
Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana,
Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan,
Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana,
Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana,
Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi,
Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana,
Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar,
Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana.

no likes.

Posted on November, 15 2012 02:38:59 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Ik ghazal meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nammi si meri deewaar main aajati hai.

no likes.

Posted on February, 05 2013 01:36:49 AM

  • Page 1 of 1
  • 1