Forums > Poetry / Ghazal Corner > ''Parveen Shakir''
  • Page 1 of 1
  • 1
waheedanjum


Age: 32 Male
4621 days old here
Total Posts: 317
Points : 42

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : ''Parveen Shakir''


''Parveen Shakir''

Hua jo kuch, bhulana chahiye tha
Usey Ab laut Aana chahiye tha

Ye sara bojh mere sar pe Q hai
Usey bhi ghum uthana chahiye tha

Q chup chap hi taluq tor dia
Usey pehle batana chahiye tha

Usi ki yad ki khushbo hai dil me
Mujhe jis ko bhulana chahiye tha

Zara ghalti pe mujh se rooth betha
Usey kia, bas bahana chahiye tha

Mujhe paa kr usey kya chain milta
Jise sara zamana chahiye tha



no likes.

Posted on November, 01 2012 12:11:53 PM


saim14399


Age: 31 Male
4450 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Sanam kade me bhi jis shirak ko iman
na mili,
Farogh par hai wohi khanqa me ae
dost.

no likes.

Posted on November, 01 2012 01:53:28 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4570 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Teri deed jis ko naseeb hy wo naseeb qabil-e-deed hai,
Tuje sochna meri chandraat tuje dekhna meri eid hai..

no likes.

Posted on November, 01 2012 07:17:13 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4570 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Tujh se ab aur mohabbat nahin ki ja sakti,
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti,
Jaantey hain ke yaqeen toot raha hai dil par,
Phir bhi ab tarq yeh wehshat ki nahin ja sakti,
Habss ka sheher hai aur is mein kisi bhi surat,
Saans lene ki sahulat nahin di ja sakti,
Roshni ke liye darwaaza khula rakhna hai,
Shab se ab koi ijaazat nahin li ja sakti,
Ishq ne hijar ka azaar to de rakha hai,
Is se barrh kar to reyaayet nahin di ja sakti..

no likes.

Posted on November, 01 2012 07:19:06 PM

saim14399


Age: 31 Male
4450 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Na ki janon me bhi toheen abla pai,
Wahan pe ruk gae kante humen jahan
na mile.

no likes.

Posted on November, 02 2012 06:58:36 AM

bawa125


Age: 33 Male
4228 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Apne Khwabon Main Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga,
Aankh Khulte Hi Tujhe Dhundhne Nikla Hoga.


no likes.

Posted on November, 02 2012 10:33:56 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4248 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Kharch Itna Bhi Na Kar Mujh Ko Zamaanay Ke Lye
Kuch Tou Reh Jaon Mein Kaam Apne Bhi Aanay Ke Lye

no likes.

Posted on February, 05 2013 05:52:54 PM

  • Page 1 of 1
  • 1