Forums > Poetry / Ghazal Corner > *. . .PhoOlon Ki Aarzu Main. . .*
  • Page 1 of 1
  • 1
waheedanjum


Age: 32 Male
4627 days old here
Total Posts: 317
Points : 42

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : *. . .PhoOlon Ki Aarzu Main. . .*
*. . .PhoOlon Ki Aarzu Main. . .*


PhoOlon Ki Aarzu Main Barre Zakhm Khaaye Hain,

Lekin Chaman K Khaar Abhi Tak Paraaye Hain,

Us Pe Haraam Hai Ghamm-€-Doraan Ki Talkhiyaan,

Jis K Naseeb Main Teri Zulfon K Saaye Hain,

Mehshar Main Le Gaii Thi Tabiyat Ki Saadgi,

Lekin Barre Khulos Se Hum Laut Aaye Hain,

Aaya Hon Yaad Baad-€-Fana Un Ko Bhi "ADAM",

Kya Jald Meri Seekh Pe Eimaaan Laaye Hain. . .*

no likes.

Posted on November, 01 2012 12:08:35 PM


saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur
Tanha Meri Zaat Hy,
Phr Toot Ke Wo Yaad Aaya Ajeeb
December Ki Ye Raat Hy…

no likes.

Posted on November, 01 2012 02:03:32 PM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Iqbal burra kehtay ho tum dil shikni ko,,

is daur me
yeh baat koi baat nahi hai!!!

no likes.

Posted on November, 01 2012 03:06:49 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4576 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Is Qadar Pyaar Se Na Bola Kar…
Dushmani Ka Gumaan Hota Hai..!

no likes.

Posted on November, 01 2012 06:26:10 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4576 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

no likes.

Posted on November, 01 2012 06:26:44 PM

khuramms


Age: 40 Male
4498 days old here
Total Posts: 5939
Points : 224

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Phoolon ki arzoo main kantain hee miltey hain bhai

no likes.

Posted on November, 01 2012 06:30:24 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Na itni taiz chale sir phari hawa se
kaho,
Shajar pe aik hi pata dikhai daita hai.

no likes.

Posted on November, 02 2012 07:01:06 AM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Main Mazboot To
Bohat Hoon Magar
Pathar To Nahi.

no likes.

Posted on November, 02 2012 10:31:57 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Baat Hai Raastey Pe Jaaney Ki
Aur Jaaney Ka Raasta Hee Nahin

no likes.

Posted on February, 05 2013 05:54:21 PM

  • Page 1 of 1
  • 1