Forums > Poetry / Ghazal Corner > Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
naveedanjumjavaid


Age: 33 Male
4639 days old here
Total Posts: 353
Points : 12

Location:
quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai…

no likes.

Posted on October, 30 2012 11:25:25 AM


bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Ajab Larki Thi Rehti Thi Bas Khayalon Men,
Wo Zarb Karti Thi Taqsim K Swalon Men,


no likes.

Posted on November, 12 2012 11:40:24 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4235 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Na jo thum sakay kisi aur say,
Main bujhta aik chiragh hoon,

Mera room room dard dard,
Meray dukh ka sira nahin,

Meri laghzishon main pali barhi,
Koi khoi kahani bhi hai,

To jo sath hai to sukoon naheen,
To jo rooth gia to azab hai,

meri zindagi hai aik goo mago,
mujhay roshni milti naheen

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:44:08 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4235 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

no likes.

Posted on November, 12 2012 11:59:37 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4235 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline

Dil Or Duniya Me Sirf Itna Frq He

K

Is Duniya Me Bahut Log Rehte He

Or

Is

Dil

Me SIRF

Aap

Ki

"BHABI g" Rehti hai

har jagha khud ko mat gusaya karo OK.

no likes.

Posted on November, 13 2012 09:22:25 AM

bawa125


Age: 33 Male
4234 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
ana ki baat hai warna,,,,mohbat ab bhi baqi hai
tujh meri mujh teri,,,,,,,,zaroot ab bhi baqi hai

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:19:28 AM

riabest


Age: 32 Female
4237 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
kisi Ka Ishq, Kisi Ka Khiyaal The Hum Bhi
Gaye Dino Mein Bohot Bakamaal The Hum Bhi,
Humaari Khoj Mein Rehti Thi Titliyaan Aksar
Kay Apne Shaher Ka Husn-o-Jamaal The Hum Bhi,
Zameen Ki Gaud Mein Sar Rakh Kar So Gaye Aakhir
TUmhaare Ishq Mein Kitne Nidhaal The Hum Bhi,
Zarooraton Ne Humaaraa Zameer Chaat Liyaa
Wagarna Qaiel-e-Rizq-e-Halaal The Hum Bhi,
Hum Aks Aks Bekharte Rahe Usi Dhun Mein
Kay Zindgi Mein Kabhi Lazawaal The Hum Bhi.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:12:59 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4237 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,
Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,
Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,
Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,
Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:03:42 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4410 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Wo rootha rootha sa lagta hai,
Koi tarkeeb batao pass aane ki,
Main zindgi girvi rakh sakta hoon,
Tum keemat batao usey manane ki…

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:35:47 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Naa miley zeher to apna hi lahuu peetey hain,
Jaam khaali nahin rehte sharaab’khanon mein.

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:21:56 PM