Forums > Poetry / Ghazal Corner > Mujhay Ishaq Hy Tum Say..
tariqjavaid


Age: 61 Male
4611 days old here
Total Posts: 5615
Points : 209

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : Mujhay Ishaq Hy Tum Say..
Mujhay Ishaq Hy Tum Say..


Tu Chalo May Man Lon Mujhay Ishaq Hy Tum Say..

Tu Chalo Tum Bhi Kaho Issi Sabab Maghror Ho Tum

no likes.

Posted on October, 25 2012 02:47:05 PM


riabest


Age: 32 Female
4237 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
kisi ke hijar mein kese bassar kare koi,
Hajoom-e-dar main kab tak guzar kare koi,
Junoon-e-ishq ne kis raste pe la chora,
Kahan hoon main zara mujh ko khabar kare koi,
Taveel hone laga ab to justuju ka safar,
Musaafat-e-gham-e-jaan mukhtsar kare koi,
Tamaam umar raha ho jo bad’gumaan hum se,
Phir us ke sath kahan tak safar kare koi,
Ujarr na jaye kahin shaakh-e-sabz sehraa main,
Dil-e-tabaah pe mere nazar kare koi,
Reh wafaa main yehi aarzoo hai aye Roomi,
Bohat duyain ki us par assar kare koi.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:03:12 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4237 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
kisi Mehwish Se Ulfat Ho Gai Kiya?
Kahin, Khud Se Adaawat Ho Gai Kiya?
Tere Haathon Mein Parcham Ishq Ka Hai
Zamaane Se Baghawat Ho Gai Kiya?
Bohot Shereen Sukhan, Shereen Dahen Ho
Muhabbat Ek Aadat Ho Gai Kiya?
Sajaaye Aankh Mein Furqat Khare Ho
Milan Ki Aas Rukhsat Ho Gai Kiya?
Dil-e-Nadaan Ki Dharkan Barh Gai Hai
Judaai Apni Qismat Ho Gai Kiya?
Kaf-e-Afsos Kaisaa “Zain Sahib”
Lagi Dil Ki, Qayamat Ho Gai Kiya..

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:16:21 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4410 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:31:14 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Jism pathar, pathron mein jaan hai,
Kya koi iss sheher mein insaan hai?

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:23:54 PM