Forums > Poetry / Ghazal Corner > Dil jalega to zamane may ujala hoga
bawa125


Age: 33 Male
4227 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Dil jalega to zamane may ujala hoga
Husn zarron ka sitaron se nirala hoga

Kaun jane ye mohabbat ki saza hai ke sila
Ham kinare pe bhi pahunche to kinara na mila
Bujh gaya chand kisi dard bhare dil ki tarah
Rat ka rang abhi aur bhi kala hoga

Dekhana royegi fariyad karegi duniya
Ham na honge to hamay yad karegi duniya
Apane jine ki ada bhi anokhi sab se
Apane marane ka bhi andaz nirala hoga


no likes.

Posted on October, 18 2012 11:07:55 AM


aarzoo


Age: 31 Female
4230 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Tere hijer main jo bi guzri hai,
Aye humnawa behaal hi guzri hai..

no likes.

Posted on November, 11 2012 08:47:34 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4228 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Kaha tha tum say...mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:09:04 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4228 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline

Ek couple date pe tha, Dad ne

dekh liya !!!

Dad ne call kiya..beta kaha ho ...?

Beta := exam dene aaya hu !

Dad := "par dhyan se, agar es

exam ka result aa gya to jan se mar dunga " =P

no likes.

Posted on November, 13 2012 09:18:59 AM

bawa125


Age: 33 Male
4227 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Paas Aao Ek Iltija Sun Lo
Pyaar Hy Tum Se Be-panah Sun Lo
?

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:12:43 AM

riabest


Age: 32 Female
4230 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
khuda kare ke mohabbat mein woh maqam aye,
Kisi ka naam loon lab pe tumhara naam aye,
Tera pyar mere gesu’yon ki uljhan ho,
Tumhare wasty dil ka chiragh roshan ho,
Seher-e-nazar se mile zulf leke shaam aye,
Mere khayalon ki tasveer hu’bahu ho tum,
Mere huzoor nigahon ki aarzu ho tum,
Isi tarah se nigah uthey sallam aye,
Jahan talak yeh haseen gungunati shaam chale,
Nazar nazar se mile, dil se dil ki baat chale,
Hamare dil ki tarap kuch to apne kaam aye.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:11:26 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4230 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
teray Hijr Mein Aur Mujhy Kya Kerna Hai ???
Teray Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun…..
Teri Zulf K Saaye Dheyaan Mein Rehtay Hain
Main Subhon Ko Shaamein Likhta Rehta Hun
Apnay Pyaar Ki Phool Mehakti Raahon Mein
Loogon Ko Deewaarein Likhta Rehta Hun
Tujh Say Mil Ker Saaray Dukh Dohraaon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hun
Sokhay Phool, Kitaabein, Zakham Judai K
Teri Sub Soghaatein Likhta Rehta Hun
Us Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hain
Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hun.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:14:44 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4403 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:31:07 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4247 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Jism pathar, pathron mein jaan hai,
Kya koi iss sheher mein insaan hai?

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:24:39 PM

Tayyab96


Age: 28 Male
4403 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Bekhudi ki yeh to ibtedaa hai,
Intehaan ki hudd tak jaoon kaise !!!
Meri ghazalein hain tumhaara aainaa,
tanhaayee mein ab nazm banaoon kaise !!!

no likes.

Posted on August, 30 2013 01:12:32 AM

hearthackervsgirls


Age: 39 Male
3954 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
wah kya bat hai yahan to poetry hi poetry hai, lakin aik bhi nahi read ki.

no likes.

Posted on August, 30 2013 09:43:27 AM

tariqjavaid


Age: 61 Male
4604 days old here
Total Posts: 5615
Points : 209

Location:
Quetta, Pakistan

Status : Offline
Mohabbat woh taluq hai, agar mojood ho jaye,
Zameen-o-aasmaan ka faasila, nabood* ho jaye..

no likes.

Posted on August, 30 2013 10:02:03 AM

hearthackervsgirls


Age: 39 Male
3954 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
tarqi bhai ap mujhe writer lagte ho, ap ki poetry bhi buhat achi hai.

no likes.

Posted on August, 30 2013 10:23:47 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4403 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Voh Aya Tha Mehfil Main Mgar Shoq Se Naheen,
Voh Betha Tha Pas Mere Mgr Dil Se Naheen,

Kaun Kehta Hain voh Pyar Naheen Karta,
Karta To Hain Magr Afsos mujhse Se Naheen..

no likes.

Posted on August, 30 2013 12:48:37 PM

malibhutta73


Age: 50 Male
3904 days old here
Total Posts: 4777
Points : 179

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Very nice poetry. Carry o brother and post other poetry.

no likes.

Posted on October, 05 2013 08:50:05 PM