Forums > Religion > Nakhun Polish Lagana Kufar Ki Taqlid Hai Is Say Na Wazu Hota Hai Na Ghusal Na Namaz
  • Page 1 of 1
  • 1
leo786


Age: 35 Male
4251 days old here
Total Posts: 263
Points : 248

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : Nakhun Polish Lagana Kufar Ki Taqlid Hai Is Say Na Wazu Hota Hai Na Ghusal Na Namaz
Sawal: Aaj kal nojawan larkiyan is kashmakash mein mubtala hain kay aya larkiya jo nakhun ko polish lagati hain is ko saf karnay kay bad wazu karain ya polish kay upper say hi wazu hojaiga. Kaee samajhdar aur talim yafta larkiyan aur mohaiz Namazi ortain yeh kahti hain kay nakhunon ki polish saf kiye baghair hi wazu hojaiga.
Aljwab: Nakhunon say mutaliq do bimariyan Orton mein khususan nojawan larkiyon mein bohot ho aam hoti jarahi hain aik nakhun barhanay ka marz aur dusra nakhun polish.
Nakhun barhanay say admi kay hath bilkul darindon jaisay hojatay hain aur phir in mein gandagi bhi reh sakti hai jis say nakhunon mein jarasim paida hotay hain aur mukhtalif alnoh bimariyan janam laiti hai. aan hazrat moh dmustafa das chizon ko fitrt say shumar kiya hai in mein aik nakhun tarashna bhi hai pas nakhun barhanay ka fashion insani fitrat kay khilaf hai jis ko muslim khowatin kafiron ki taqlid mein apna rahi hain.
Muslim khawatin ko is khilaf fitrat taqlid say parhaiz karna chahiya dusra marz nakhun polish ka hai. haq tala shana nay orat kay aza mein fitri husn rakha hai.

Nakhun polish ka masnuee libadah mahaz ghair fitri cheez hai phir is mein napak chizon ki amezish bhi hoti hai wohi napak hath khanay waghairah mein istemal karna tabaee karahat ki cheez hai aur sab say barh kar yeh kay nakun polish ki the jam jati hai aur jab tak isay saf na kardiya jai pani nichay nahin pohonch sakta. Pas na wazu hota hai na ghusal admi napak ka napak rehta hai. Jotalim yafta larkiya aur mohaziz Namazi ortain yeh kehti hain kay nakhun polish ko saf kiye baghair admi pak nahin hota na namaz hogi na tilawat jaiz hogi woh isi mani mein hai jo ham nay bayan kiya hai.
(Mufti Yusuf Ludhiyanvi Shaheed

no likes.

Posted on October, 02 2012 10:36:31 PM


  • Page 1 of 1
  • 1