Forums > Religion > SMS DARS ON SCIENCE & TECHNOLOGY
  • Page 1 of 1
  • 1
learnersofquran


Age: 33 Male
4583 days old here
Total Posts: 20
Points : 0

Location:
Shahdara, Punjab, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : SMS DARS ON SCIENCE & TECHNOLOGY
*DARS E REHMAN*
"wohi (ALLAH) to hai jisne tmko matti se paida kia."
AL QURAN
Chapter 6
AL ANAAM
Verse 2
~hmari Body k Living Tissues me 26 mukhtalif Elements hote hain. jin me 6 Elements buht Common hain. Carbon, Hydrogen, Oxygen, Nitrogen, Phosphorus, Sulfur. ye matti me b hote hain~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or zamin me jo chalne phirne waala (janwar) ya 2 paro se urrne waali makhlooq hai un ki b tm logo ki tarah jamatey'n hain."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 38
~Scientists k mutabiq Estimated Animal Species Range 3-30 million hai. 97% Invertebrates or 3% Vertebrates hain. aik andaze k mutabiq hr ghante jandaro ki aik nai qism daryaft ho rahi hai. abhi tk poori dunia k Scientists is sirf 1 ayat k Project ko b mukamal nahi kr sake~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or wohi (ALLAH) to hai jo raat ko (tmhare sone ki haalat me) tmhari rooh qabz kr leta hai."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 60
~neend ko wafaat e sughra ya mot ki choti behan bhi kaha jata hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"jb tm me se ksi ki mot aati hai to hmare farishte uski rooh qabz kr lete hain or ksi tarah ki kotahi nahi krte."
AL QURAN
Chapter 6
AL AN'AAM
Verse 61
~abhi tk Science Soul ko Define nahi kr saki. kuch Experts ka kehna hai k jb insaan mr jata hai to uska Weight Immediately km ho jata hai. jb k aisa doosre janwaro k Case me nahi hota. It means k insaan k mrne k bad koi cheez us k jism se nikal jati hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"khuwab 3 tarah k hote hain:1-acha khuwab ALLAH ki taraf se2-bura khuwab shytan ki taraf se3-aik khuwab insaan k la-sha'oor ka aks hota hai."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Rooya
Chapter 805
Hadis 5787
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~Psycology & Medical Science k mutabiq dimaagh me mojood guzre dino ki yaad-daashto ko la-sha'oor kehte hain. jo hmare sote waqt Active hota hai or Past Memories ko saamne rakh kr Future ka Structure Shape deta hai. hadis me kaha gya hai la-sha'oor ka aks yeni Past Memories ka aks Future Structure me. lekin ye Structure haqiqi nahi hota~
*ISLAH MISSION*

*DARS E REHMAN*
"or hm hi haway'n chalaate hain (jo baadlo k paani se) bhari hoti hain or hm hi asmaan se baarish barsaate hain or hm hi tm ko uska paani pilaate hain or tm to uska khazana nahi rakhte."
AL QURAN
Chapter 15
AL HIJAR
Verse 22
*ISLAH MISSION*

--------
www.smsdars.blogspot.com

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:29:07 AM


MirzaIT


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
so informative about Quran that what Quran say to all Human Beings.

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:05:57 PM

  • Page 1 of 1
  • 1