Forums > Religion > SMS DARS ON PROPHET MOHAMMAD S.A.W.W
  • Page 1 of 1
  • 1
learnersofquran


Age: 33 Male
4583 days old here
Total Posts: 20
Points : 0

Location:
Shahdara, Punjab, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Subject : SMS DARS ON PROPHET MOHAMMAD S.A.W.W
*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:"mushk sbse umda khushboo hai."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Alfaaz
Chapter 802
Hadis 5764
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"qyamat k din mai olaad e Adam ka sardaar hun ga."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 807
Hadis 5821
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"(qyamat k din) sbse pehle mai shafa'at karu ga or sbse pehle meri shafa'at qabool ki jaay gi."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 807
Hadis 5821
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"meri or tmam Nabio'n ki misaal us shakhs ki tarah hai jo aik hasin o jamil imarat bnay. log usme ghoom phir kr kahey k hmne to is se achi imarat nahi dekhi, lekin usme aik eent ki kami hai. (aap ne frmaya wo akhri eent mai hun."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 812
Hadis 5840
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~Mohammad s.a.w.w pr silsila e Nabuwat khatam ho chuka hai~

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"(roz e mehshar) mai 'Hoz e Kosar' pr tmhara mezbaan hun ga. jo us tk pohche ga wo uska mashroob piye ga or jo uska mashroob piye ga usey kabhi pyaas mehsoos nahi hogi."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 814
Hadis 5849
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"ALLAH ki qasam! (Hoz e Kausar pr) mujhse zra door hi kch logo ko mujh tk aane se rok dia jay ga. mai kahu ga ae ALLAH! ye to mere maanne waale, mere Ummati hain. ALLAH frmay ga k aap nahi jaante k inho ne aap k bad kya amal kia. ye apni aerrhio k bl (Islam) se phir gay they. (yeni inho ne deen me apni marzi k kaam ijaad kr liye or Biddatey nikaal li thein. phir aap b kahe ge k jinho ne mere bad deeni ahkaam me tabdili ki unhe door rakho)."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 814
Hadis 5852
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~deen wohi hai jo Nabi s.a.w.w se sabit hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans bin Maalik R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH sbse zyada khoobsurat, sbse zyada sakhawat krne waale or sbse zyada bahadur they."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazay
Chapter 816
Hadis 5885
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~Nabi s.a.w.w jitne zyada naram dil they utne barre jangjoo b they. jitni achi miswaak krte they utni achi talwar b chalate they~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans bin Maalik R.A ne frmaya:
"mai ne 10 baras RASOOL ALLAH ki khidmat ki. ALLAH ki qasam! aap ne mujhe kabhi bhi uff tk nahi kaha."
MUSLIM
Volumd 3
Kitabul Fazayl
Chapter 818
Hadis 5890
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Jaabir bin Abdullah R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH se jb bhi koi cheez maangi gai, aap ne kabhi 'na' nahi ki."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 819
Hadis 5896
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans bin Maalik R.A ne frmaya:"mai ne RASOOL ALLAH se zyada ksi ko apne ghar waalo k liye reham dil nahi dekha."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 820
Hadis 5904
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ayesha R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH ne apni zaat k liye kabhi ksi se inteqaam nahi lia. lekin agr ALLAH k ahkaam ki khilaaf warzi ki jaati (to aap hargiz maaf nahi krte they)."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 825
Hadis 5923
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.

*DARS E HABIB*
Hazrat Ayesha R.A ne frmaya:
"jb ALLAH k ahkaam ki khilaaf warzi ki jaati to RASOOL ALLAH, ALLAH ki raza k liye inteqaam lia krte they."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 825
Hadis 5927
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM
.~ISLAM me Aman ka mtlb ye hai k ALLAH k dushman k liye talwar taiz or apne zaati dushman k liye zuban meethi ho~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH ki khushboo jitni pakeeza khushboo na Anbar ki thi, na mushk ki or na hi ksi or cheez ki thi."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 826
Hadis 5930
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH ka rang chamak-daar safaid tha."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 826
Hadis 5931
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.

*DARS E HABIB*
Hazrat Ubada bin Saamit R.A ne frmaya:
"jb RASOOL ALLAH pr wahi naazil hoti thi to aap ko uski shiddat mehsoos hoti thi or aap k chehra mubarak ka rang tabdeel ho jaata tha."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 827
Hadis 5937
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~Nabi s.a.w.w pr jb wahi aati thi to ap pr sakht bojh parrta. aaj hmne usi wahi (Quran) ko apni zindagi se bahir kr dia hai~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ayesha R.A ne frmaya:
"agr sard tareen subah me RASOOL ALLAH pr wahi naazil hoti to aap ki peshani mubarak se pasina nikalne lagta."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 827
Hadis 5935
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~wo Taif ki waadi me kha kha k pathar tmhare liye jo tarrapta rha tha, usi k tariqe ko pairo'n se ronda, zra khud btao ye kesi wafa hai?
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Ans R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH ne khizaab ka istemaal nahi kia."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 829
Hadis 5954
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~baalo ko khizab lagana mna hai kyou k isme dhoka hai. ahadis k muabiq zard ya laal rang kia ja skta hai baalo me~
*ISLAH MISSION*

*DARS E HABIB*
Hazrat Abu Hujaifa R.A ne frmaya:
"RASOOL ALLAH safaid rang k maalik they or aap k (kuch hi) baal safaid they or Hazrat Ali R.A k baite Hazrat Hassan R.A (shakal o surat me sbse zyada) aap se moshabehat rakhte they."
MUSLIM
Volume 3
Kitabul Fazayl
Chapter 829
Hadis 5958
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.

*DARS E HABIB*
RASOOL ALLAH ne frmaya:
"jisne mujh pr jaan boojh kr jhoot bola, wo apna thikana Jahanum me tayar kare.
"REFERENCES:
Abu Daud 5118
Tirmizi 2257
As Sahihah 1383
SALLALLAHO ALYHE WA AALIHI WASALLAM.
~jb tk ksi Hadis ki tasdiq na ho jaay, usey aage phelaana haraam hai~
*ISLAH MISSION*

--------
www.smsdars.blogspot.com

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:23:19 AM


MirzaIT


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
Subhana Allah,Bohut umdah ahades paish ki hain.

no likes.

Posted on March, 04 2012 10:29:14 PM

  • Page 1 of 1
  • 1